Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab jab bhi dekhiye use KHun-bar si lage

Aabid Adeeb

jab jab bhi dekhiye use KHun-bar si lage

Aabid Adeeb

MORE BYAabid Adeeb

    jab jab bhī dekhiye use ḳhūñ-bār lage

    duniyā hamesha barsar-e-paikār lage

    har har nafas pe rañg badaltī hai zindagī

    ik phuul lage hai kabhī ḳhaar lage

    chehra hai mere dost koī aa.ina

    dekhūñ ulaT-palaT ke to bhī aarsī lage

    aadat paḌ ga.ī hai use bolne tez

    vo baat bhī kare hai to takrār lage

    tum saath ho to ham bhī bayābāñ ko ghar kareñ

    ye saḳht dhuup sāya-e-dīvār lage

    har har qadam pe jaise ki biktā ho aadmī

    bastī tamām misr ke bāzār lage

    'ābid' tamām shahr pe aalam hai kaun

    har ek shakl naqsh-ba-dīvār lage

    jab jab bhi dekhiye use KHun-bar si lage

    duniya hamesha barsar-e-paikar si lage

    har har nafas pe rang badalti hai zindagi

    ek phul si lage hai kabhi KHar si lage

    chehra hai mere dost ka ya koi aaina

    dekhun ulaT-palaT ke to bhi aarsi lage

    aadat si paD gai hai use bolne ki tez

    wo baat bhi kare hai to takrar si lage

    tum sath ho to hum bhi bayaban ko ghar karen

    ye saKHt dhup saya-e-diwar si lage

    har har qadam pe jaise ki bikta ho aadmi

    basti tamam misr ke bazar si lage

    'abid' tamam shahr pe aalam hai kaun sa

    har ek shakl naqsh-ba-diwar si lage

    Source:

    Shuwaz (Pg. 108)

    • Author: Aabid Adeeb
      • Publisher: Shahid Publications, New Delhi
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now