Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab teri yaad mein machalta hai

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

jab teri yaad mein machalta hai

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb

    jab tirī yaad meñ machaltā hai

    dil sambhāle nahīñ sambhaltā hai

    chashm-e-pur-nam pe us hairāñ huuñ

    kaise patthar dil pighaltā hai

    us meñ aayā tire shabāb rañg

    tere hāthoñ jo jaam Dhaltā hai

    mujh tak aane raah raushan hai

    na jale sham.a dil to jaltā hai

    kyoñ patañge ko sham.a hai talāsh

    jalne vaalā to yuuñ jaltā hai

    daur-e-mai par nigāh hai kis

    mast āñkhoñ daur chaltā hai

    dil meñ mere kahāñ añdherā hai

    aarzū charāġh jaltā hai

    tum ko aa.e ki na aa.e raas

    vaqt to karvaTeñ badaltā hai

    silsile aarzū ke chalte haiñ

    dil armān kab nikaltā hai

    jaisī terī nazar badaltī hai

    vaise duniyā ruḳh badaltā hai

    laḌkhaḌāyā to gayā manzil

    jo bhī sambhlā hai haath maltā hai

    jazba-e-dushmanī bhī aaj 'habīb'

    pahlū-e-dostī meñ paltā hai

    jab teri yaad mein machalta hai

    dil sambhaale nahin sambhalta hai

    chashm-e-pur-nam pe us ki hairan hun

    kaise patthar ka dil pighalta hai

    us mein aaya tere shabab ka rang

    tere hathon jo jam Dhalta hai

    mujh tak aane ki rah raushan hai

    na jale shama dil to jalta hai

    kyon patange ko shama ki hai talash

    jalne wala to yun hi jalta hai

    daur-e-mai par nigah hai kis ki

    mast aankhon ka daur chalta hai

    dil mein mere kahan andhera hai

    aarzu ka charagh jalta hai

    tum ko aae ki ya na aae ras

    waqt to karwaTen badalta hai

    silsile aarzu ke chalte hain

    dil ka arman kab nikalta hai

    jaisi teri nazar badalti hai

    waise duniya ka ruKH badalta hai

    laDkhaDaya to pa gaya manzil

    jo bhi sambhla hai hath malta hai

    jazba-e-dushmani bhi aaj 'habib'

    pahlu-e-dosti mein palta hai

    Source:

    نغمۂ زندگی (Pg. 69)

    • Author: جے کرشن چودھری حبیب
      • Publisher: جے کرشن چودھری حبیب
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now