Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab uske dar pe maine dil ki saughat-e-giran rakh di

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

kab uske dar pe maine dil ki saughat-e-giran rakh di

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb

    kab us ke dar pe maiñ ne dil sauġhāt-e-girāñ rakh

    taqāzā-e-mohabbat ne jahāñ chāhā vahāñ rakh

    mirī be-tābiyoñ ne kar diyā bechain tum ko bhī

    tumhārī har adā meñ kab mohabbat ne zabāñ rakh

    huā kyā barq ne gar phūñk Daalā āshiyāñ merā

    ki maiñ ne shāḳh-e-gul par phir binā-e-āshiyāñ rakh

    jigar meñ hai abhī dam-ḳham abhī hai taab zaḳhmoñ

    ye kyoñ phir tiir barsāte hue ne kamāñ rakh

    zarā se dil ko kyā kyā vus.ateñ ne ḳhudāyā diiñ

    yahīñ fikr-e-jahāñ rakh yahīñ fikr-e-butāñ rakh

    rahūñ garm-e-safar umr-e-ravāñ ke lahze lahze meñ

    muqaddar ne mirī manzil benām-o-nishāñ rakh

    kabhī sadqe vafāoñ ke karam ik nazar bhī ho

    jafā mahz kyoñ hisse meñ mere mehrbāñ rakh

    ḳhushā vo vaqt jab gahvāra-e-ulfat meñ ham bhūleñ

    man-o-tū tamīz ab kyoñ diloñ ke darmiyāñ rakh

    sabab khultā nahīñ kuchh yāsmīn-o-gul chashmak

    binā kaisī chaman-bandī ne bāġhbāñ rakh

    'habīb' in āñso.oñ ko dekh mat chashm-e-hiqārat se

    ki har qatre meñ maiñ ne dard ik dāstāñ rakh

    kab us ke dar pe main ne dil ki saughat-e-giran rakh di

    taqaza-e-mohabbat ne jahan chaha wahan rakh di

    meri be-tabiyon ne kar diya bechain tum ko bhi

    tumhaari har ada mein kab mohabbat ne zaban rakh di

    hua kya barq ne gar phunk Dala aashiyan mera

    ki main ne shaKH-e-gul par phir bina-e-ashiyan rakh di

    jigar mein hai abhi dam-KHam abhi hai tab zaKHmon ki

    ye kyon phir tir barsate hue tu ne kaman rakh di

    zara se dil ko kya kya wusaten tu ne KHudaya din

    yahin fikr-e-jahan rakh di yahin fikr-e-butan rakh di

    rahun garm-e-safar umr-e-rawan ke lahze lahze mein

    muqaddar ne meri manzil hi benam-o-nishan rakh di

    kabhi sadqe wafaon ke karam ki ek nazar bhi ho

    jafa hi mahz kyon hisse mein mere mehrban rakh di

    KHusha wo waqt jab gahwara-e-ulfat mein hum bhulen

    man-o-tu ki tamiz ab kyon dilon ke darmiyan rakh di

    sabab khulta nahin kuchh yasmin-o-gul ki chashmak ka

    bina kaisi chaman-bandi ki tu ne baghban rakh di

    'habib' in aansoon ko dekh mat chashm-e-hiqarat se

    ki har qatre mein main ne dard ki ek dastan rakh di

    Source:

    نغمۂ زندگی (Pg. 37)

    • Author: جے کرشن چودھری حبیب
      • Publisher: جے کرشن چودھری حبیب
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now