tu mujhe kab bulane aaya tha
tū mujhe kab bulāne aayā thā
maiñ sadā terī raah taktā thā
ik yahī ḳhāmushī thī mere saath
jis se maiñ terī baat kartā thā
chashm-e-nam kyā tujhe batā.egī
terī ḳhātir maiñ kitnā royā thā
tū bhī bāhar nikal ke aayā nahīñ
maiñ bhī us dar pe phir na lauTā thā
mere dil meñ thī ab bhī ek umiid
par kisī ne mujhe na rokā thā
raushnī vaale log milte the
mere dil meñ magar añdherā thā
peḌ kahte the ruk ke saañs to le
mujh ko jaldī kahīñ pahuñchnā thā
rahguzar is qadar na thī sunsān
dil magar jaane kyoñ laraztā thā
phir maiñ pahuñchā usī nadī ke ghaaT
ab mirā tujh se ḳhatm rishta thā
āḳhirī naav khul chukī thī ab
Dūbte mujh ko kis ne dekhā thā
tu mujhe kab bulane aaya tha
main sada teri rah takta tha
ek yahi KHamushi thi mere sath
jis se main teri baat karta tha
chashm-e-nam kya tujhe bataegi
teri KHatir main kitna roya tha
tu bhi bahar nikal ke aaya nahin
main bhi us dar pe phir na lauTa tha
mere dil mein thi ab bhi ek umid
par kisi ne mujhe na roka tha
raushni wale log milte the
mere dil mein magar andhera tha
peD kahte the ruk ke sans to le
mujh ko jaldi kahin pahunchna tha
rahguzar is qadar na thi sunsan
dil magar jaane kyon larazta tha
phir main pahuncha usi nadi ke ghaT
ab mera tujh se KHatm rishta tha
aaKHiri naw khul chuki thi ab
Dubte mujh ko kis ne dekha tha
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 69)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.