Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abbu ji

Haidar Bayabani

abbu ji

Haidar Bayabani

MORE BYHaidar Bayabani

    itnā kyoñ nārāz ho mujh par yuuñ mat DāñTo abbū

    maiñ huuñ nanhā-munnā bachcha itnā jaano abbū

    yuuñ mat DāñTo abbū

    tum bhī pahle bachche the ye mat bhūlo abbū

    naTkhaT bhī mujh jaise the ye mat bhūlo abbū

    jis din zid farmā.ī hogī daadā se aur daadī se

    us din maar bhī khaa.ī hogī daadā se aur daadī se

    bachpan naam sharārat hai tum bhī samjho abbū

    yuuñ mat DāñTo abbū

    shaitānī bhī karte hoñge sach batlāo abbū

    man-mānī bhī karte hoñge sach batlāo abbū

    toḌ bhī Dāleñ hoñge tum ne khel khilaune chāchā ke

    aur kabhī kar Daale hoñge kapḌe gande daadā ke

    saarī bāteñ yaad karo phir mujh ko dekho abbū

    yuuñ mat DāñTo abbū

    nāġha bhī ho jaatī hogī hafte meñ schōl kabhī

    paḌhte paḌhte roz sabaq ko baiThe hoñge bhuul kabhī

    teacher ne ġhussa ho kar tum ko murġh banāyā hogā

    hañste hoñge sab ham-jolī ḳhuub maza phir aayā hogā

    jo kuchh mujh se bhuul huī hai muaaf bhī kar do abbū

    yuuñ mat DāñTo abbū

    itna kyon naraaz ho mujh par yun mat DanTo abbu ji

    main hun nanha-munna bachcha itna jaano abbu ji

    yun mat DanTo abbu ji

    tum bhi pahle bachche hi the ye mat bhulo abbu ji

    naTkhaT bhi mujh jaise hi the ye mat bhulo abbu ji

    jis din zid farmai hogi dada se aur dadi se

    us din mar bhi khai hogi dada se aur dadi se

    bachpan nam shararat ka hai tum bhi samjho abbu ji

    yun mat DanTo abbu ji

    shaitani bhi karte honge sach batlao abbu ji

    man-mani bhi karte honge sach batlao abbu ji

    toD bhi Dalen honge tum ne khel khilaune chacha ke

    aur kabhi kar Dale honge kapDe gande dada ke

    sari baaten yaad karo phir mujh ko dekho abbu ji

    yun mat DanTo abbu ji

    nagha bhi ho jati hogi hafte mein school kabhi

    paDhte paDhte roz sabaq ko baiThe honge bhul kabhi

    teacher ji ne ghussa ho kar tum ko murgh banaya hoga

    hanste honge sab ham-joli KHub maza phir aaya hoga

    jo kuchh mujh se bhul hui hai muaf bhi kar do abbu ji

    yun mat DanTo abbu ji

    Source:

    Nanhi Munni Batain (Pg. 30)

    • Author: Haidar Bayabani
      • Publisher: Maktaba Jamia Limited, New Delhi
      • Year of Publication: 1992

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now