Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-faiz-e-qaed-e-azam

Nasir Zaidi

ba-faiz-e-qaed-e-azam

Nasir Zaidi

MORE BYNasir Zaidi

    ham vo haiñ jin rivāyāt-e-salaf ke aage

    chaḌhte sūraj the nagoñ

    qaisar-o-kisrā the zubūñ

    gardish-e-vaqt se ik aisā zamāna aayā

    ham nigūñ-sār-o-zabūñ-hāl-o-parāganda hue

    sāl-hā-sāl is sūrat-e-hālāt ke ba.ad

    ek insān uThā aisā ki jis ne baḌh kar

    azm-o-himmat shujā.at chalan aam kiyā

    aur barsoñ ġhulāmī ke shikanjoñ meñ kase

    rāh-e-gum-karda bhaTakte hue insānoñ ko

    lafz-e-āzādī-e-jamhūr se āgāh kiyā

    ik na.e daur-e-daraḳhshanda paiġhām diyā

    qāfile baḌhte rahe baḌhte rahe baḌhte rahe

    sūraj āzādi-e-insāñ ke yūñhī chaḌhte rahe

    ham ki vāqif the rivāyāt-e-salaf se apnī

    DaT ga.e nazm-e-vatan ḳhātir

    azm-o-himmat se shujā.at se nayā kaam liyā

    aur qaa.id ke usūloñ chalan aam kiyā

    aaj ham phir vahī mardān-e-jarī haiñ ki jo the

    hum wo hain jin ki riwayat-e-salaf ke aage

    chaDhte suraj the nagon

    qaisar-o-kisra the zubun

    gardish-e-waqt se ek aisa zamana aaya

    hum nigun-sar-o-zabun-haal-o-paraganda hue

    sal-ha-sal ki is surat-e-haalat ke baad

    ek insan uTha aisa ki jis ne baDh kar

    azm-o-himmat ka shujaat ka chalan aam kiya

    aur barson ki ghulami ke shikanjon mein kase

    rah-e-gum-karda bhaTakte hue insanon ko

    lafz-e-azadi-e-jamhur se aagah kiya

    ek nae daur-e-daraKHshanda ka paigham diya

    qafile baDhte rahe baDhte rahe baDhte rahe

    suraj aazadi-e-insan ke yunhi chaDhte rahe

    hum ki waqif the riwayat-e-salaf se apni

    DaT gae nazm-e-watan ki KHatir

    azm-o-himmat se shujaat se naya kaam liya

    aur qaid ke usulon ka chalan aam kiya

    aaj hum phir wahi mardan-e-jari hain ki jo the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now