Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baghawat kaun kare

Abul Fitrat Meer Zaidi

baghawat kaun kare

Abul Fitrat Meer Zaidi

MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi

    is kumba-parvar duniyā meñ bekas himāyat kaun kare

    jab ġhāsib munsif ban jaa.eñ insāf zahmat kaun kare

    jo farq samajhte haiñ ab tak hindī sindhī punjabi meñ

    in aql ke puure logoñ se laḌne himāqat kaun kare

    jo luT kar aa.e haiñ un ko sabr aate aate aa.egā

    lekin is behis duniyā meñ ehsās-e-haqīqat kaun kare

    kyā rahnā aisī bastī meñ har baat jahāñ ulTī ho

    jab baaz khet dushman ho phir is hifāzat kaun kare

    ma.alūm ye hotā hai ab tak yūsuf ke barādar zinda haiñ

    jab apne dushman ho jaa.eñ ġhairoñ shikāyat kaun kare

    in khāte-pīte logoñ se ye baat koī pūchhe kar

    zardāroñ dāvat tum ne nādār dāvat kaun kare

    mahloñ ke sunahrī pardoñ meñ har aib hunar ban jaatā hai

    lekin in daulat-mandoñ ko jhuTlāne jur.at kaun kare

    ham sab kuchh kar sakte haiñ magar ye soch ke phir rah jaate haiñ

    tum laakh bure ho apne ho apnoñ se baġhāvat kaun kare

    is kumba-parwar duniya mein bekas ki himayat kaun kare

    jab ghasib munsif ban jaen insaf ki zahmat kaun kare

    jo farq samajhte hain ab tak hindi sindhi punjabi mein

    in aql ke pure logon se laDne ki himaqat kaun kare

    jo luT kar aae hain un ko sabr aate aate aaega

    lekin is behis duniya mein ehsas-e-haqiqat kaun kare

    kya rahna aisi basti mein har baat jahan ki ulTi ho

    jab baz hi khet ka dushman ho phir is ki hifazat kaun kare

    malum ye hota hai ab tak yusuf ke baradar zinda hain

    jab apne dushman ho jaen ghairon ki shikayat kaun kare

    in khate-pite logon se ye baat koi puchhe ja kar

    zardaron ki dawat tum ne ki nadar ki dawat kaun kare

    mahlon ke sunahri pardon mein har aib hunar ban jata hai

    lekin in daulat-mandon ko jhuTlane ki jurat kaun kare

    hum sab kuchh kar sakte hain magar ye soch ke phir rah jate hain

    tum lakh bure ho apne ho apnon se baghawat kaun kare

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now