aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

barsat ki sham

Bismil Allahabadi

barsat ki sham

Bismil Allahabadi

MORE BYBismil Allahabadi

    kis qadar dilkash suhānī shaam hai barsāt

    bolne vaalī hai ab tasvīr goyā raat

    dāman-e-maġhrib meñ poshīda ruḳh-e-ḳhurshīd hai

    aamad aamad hai qamar us shauq-e-dīd hai

    ḳhāma-e-qudrat ke pā-e-Dhab shafaq ke rañg meñ

    sar-ba-sar Duube hue haiñ sab shafaq ke rañg meñ

    sar uThā kar āsmāñ jāma-zebī dekhiye

    us rañgīnī meñ kyā hai dil-farebī dekhiye

    ye rū-pahlā ye sunahrā rañg kuchh aur hai

    rañg kuchh aur be-shak Dhañg kuchh aur hai

    kaam sone banā hai gumbad-e-aflāk par

    zau-fagan hotā hai aalam is farsh-e-ḳhāk par

    bazm-e-gardūñ par huā hai anjuman-ārā koī

    jhāñktā parde se hai shāyad ye mah-pāra koī

    maiñ na kyuuñ qurbān jā.ūñ is adā is Dhañg ke

    āsmāñ par khil rahe haiñ phuul lākhoñ rañg ke

    haiñ lakīreñ muḳhtalif rañgoñ rañgīñ daaġh hai

    ye ḳhudā shaan hai kyā āsmāñ par baaġh hai

    shaam hai barsāt dilchasp manzar saath hai

    dekhiye hotā hai kyā qudrat is meñ haath hai

    sūrat-e-tasvīr chup 'bismil' hue ye bol kar

    husn duniyā hai dekho dīda-e-dil khol kar

    kis qadar dilkash suhani sham hai barsat ki

    bolne wali hai ab taswir goya raat ki

    daman-e-maghrib mein poshida ruKH-e-KHurshid hai

    aamad aamad hai qamar ki us ka shauq-e-did hai

    KHama-e-qudrat ke pa-e-Dhab shafaq ke rang mein

    sar-ba-sar Dube hue hain sab shafaq ke rang mein

    sar uTha kar aasman ki jama-zebi dekhiye

    us ki rangini mein kya hai dil-farebi dekhiye

    ye ru-pahla ye sunahra rang hi kuchh aur hai

    rang hi kuchh aur be-shak Dhang hi kuchh aur hai

    kaam sone ka bana hai gumbad-e-aflak par

    zau-fagan hota hai aalam is ka farsh-e-KHak par

    bazm-e-gardun par hua hai anjuman-ara koi

    jhankta parde se hai shayad ye mah-para koi

    main na kyun qurban jaun is ada is Dhang ke

    aasman par khil rahe hain phul lakhon rang ke

    hain lakiren muKHtalif rangon ki rangin dagh hai

    ye KHuda ki shan hai kya aasman par bagh hai

    sham hai barsat ki dilchasp manzar sath hai

    dekhiye hota hai kya qudrat ka is mein hath hai

    surat-e-taswir chup 'bismil' hue ye bol kar

    husn ki duniya hai dekho dida-e-dil khol kar

    Source:

    Jazbat-e-bismil (Pg. E-67 B-52)

    • Author: Bismil Allahabadi
      • Edition: 2014
      • Publisher: Indian Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1932
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now