Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baTla house

Asim Badr

baTla house

Asim Badr

MORE BYAsim Badr

    ghaḌī Tik-Tik bol rahī hai raat ke shāyad ek baje haiñ

    baTla house ek galī meñ moTe kutte bhauñk rahe haiñ

    ek khañDar meñ tez raushnī chāroñ jānib phail rahī hai

    baġhal meñ leTā sāthī merā ab tak pub khel rahā hai

    maiñ bhī ab tak jaag rahā huuñ āñkheñ mūñde soch rahā huuñ

    nīche jaanā kaisā hogā bāhar kitnī sardī hogī

    qutub sitāra kidhar ko hogā raat raanī kaisī hogī

    sub.h sūraj kahāñ pe hogā abhī ḳhudā kyā kartā hogā

    saḌak kināre sone vaale joḌe kaise sote hoñge

    in ko machchhar kāTte hoñge

    naum chomsky lawn meñ baiThe bachche āḳhir kaise hoñge

    un ko kutte chāTte hoñge

    kyā in bhūk-zada bachchoñ ke ḳhvāb meñ pariyāñ aatī hoñgī

    kaTe-phaTe hāthoñ ke takiye ke nīche kuchh rakhtī hoñgī

    kaisī bāteñ karte ho kyā pariyoñ kaam yahī hai

    mahal sarā.e chhoḌ ke ab vo saḌak kināre ā.eñgī kyā

    raat ke shāyad DeḌh baje haiñ baTla house chauk khulā hai

    raat ko job se aane vaale raat meñ job ko jaane vaale

    ek haath meñ liye chaa.e cup ek haath meñ chhoTī cigarette

    saḌak paar kyoñ dekh rahe haiñ

    biryānī ko DhūñDh rahe haiñ

    un ke pīchhe saḌak kināre qabristān gate khulā hai

    andar kutte ghuum rahe haiñ shāyad khānā DhūñDh rahe haiñ

    bāhar cigarette aur coffē hai andar kaafī tārīkī hai

    maiñ bhī andar jhāñk rahā huuñ haule haule soch rahā huuñ

    qabristān ke andar meñ ye latrine kis ne banvāyā

    kyoñ banvāyā

    shāyad murde raat meñ uTh kar us ke andar jaate hoñge

    hājat puurī karte hoñge

    phir cigarette piine vaale laḌke andar jaate hoñge

    ḳhākī vardī ghar vāloñ se chhup kar cigarette piite hoñge

    ek kināre adab malika sab kuchh baiThī dekh rahī hai

    aag dariyā chāñdnī begam shīshe ghar likhne vaalī

    ainī aapā soch rahī hai

    merā qaarī kyoñ aayā hai

    shāyad is ko gautam shañkar tal.at ne uljhāyā hogā

    phir us ko ḳhayābāñ champā ne paglāyā hogā

    phir is pāgal laḌke ne shu.ūr rau ko chheḌā hogā

    phir is ne aag dariyā aadhā paḌh kar chhoḌā hogā

    falsafyāna bāteñ sun kar saare murde sochte hoñge

    koī apnī ḳhvāb-gāh ko chhoḌ ke āḳhir kyoñ aayā hai

    maiñ bhī baiThā soch rahā huuñ

    itnī raat ko kyoñ aayā huuñ

    ghaDi ki Tik-Tik bol rahi hai raat ke shayad ek baje hain

    baTla house ki ek gali mein moTe kutte bhaunk rahe hain

    ek khanDar mein tez raushni chaaron jaanib phail rahi hai

    baghal mein leTa sathi mera ab tak pub ji khel raha hai

    main bhi ab tak jag raha hun aankhen munde soch raha hun

    niche jaana kaisa hoga bahar kitni sardi hogi

    qutub sitara kidhar ko hoga raat ki rani kaisi hogi

    subh ka suraj kahan pe hoga abhi KHuda kya karta hoga

    saDak kinare sone wale joDe kaise sote honge

    in ko machchhar kaTte honge

    naum chomsky lawn mein baiThe bachche aaKHir kaise honge

    un ko kutte chaTte honge

    kya in bhuk-zada bachchon ke KHwab mein pariyan aati hongi

    kaTe-phaTe hathon ke takiye ke niche kuchh rakhti hongi

    kaisi baaten karte ho ji kya pariyon ka kaam yahi hai

    mahal sarae chhoD ke ab wo saDak kinare aaengi kya

    raat ke shayad DeDh baje hain baTla house ka chauk khula hai

    raat ko job se aane wale raat mein job ko jaane wale

    ek hath mein liye chae cup ek hath mein chhoTi cigarette

    saDak par kyon dekh rahe hain

    biryani ko DhunDh rahe hain

    un ke pichhe saDak kinare qabristan ka gate khula hai

    andar kutte ghum rahe hain shayad khana DhunDh rahe hain

    bahar cigarette aur coffee hai andar kafi tariki hai

    main bhi andar jhank raha hun haule haule soch raha hun

    qabristan ke andar mein ye latrine kis ne banwaya

    kyon banwaya

    shayad murde raat mein uTh kar us ke andar jate honge

    hajat puri karte honge

    ya phir cigarette pine wale laDke andar jate honge

    KHaki wardi ghar walon se chhup kar cigarette pite honge

    ek kinare adab ki malika sab kuchh baiThi dekh rahi hai

    aag ka dariya chandni begam shishe ka ghar likhne wali

    aini aapa soch rahi hai

    mera qari kyon aaya hai

    shayad is ko gautam shankar talat ne uljhaya hoga

    ya phir us ko KHayaban ki champa ne paglaya hoga

    ya phir is pagal laDke ne shuur ki rau ko chheDa hoga

    ya phir is ne aag ka dariya aadha paDh kar chhoDa hoga

    falsafyana baaten sun kar sare murde sochte honge

    koi apni KHwab-gah ko chhoD ke aaKHir kyon aaya hai

    main bhi baiTha soch raha hun

    itni raat ko kyon aaya hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now