Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhaarat ki phulwari

Syeda Farhat

bhaarat ki phulwari

Syeda Farhat

MORE BYSyeda Farhat

    ham bhārat phulvārī ke rañg birañge phuul

    ik duuje ko kāñTā samjheñ ye hai apnī bhuul

    ek dhartī se ham sab ne janm liyā hai sāthī

    rañg-o-rūp isī dhartī se ham ne liyā hai sāthī

    ek havā meñ saañs haiñ lete ek fazā meñ jiite haiñ

    gañgā aur jamunā paanī ham sab mil kar piite haiñ

    rañg-o-rūp alag alag hai phir bhī ek hai jīvan

    alag alag hai apnī kyārī phir bhī ek hai jīvan

    bhārat des phulvārī ko mil kar ḳhuub sajā.eñ

    saare jag meñ pyaar ḳhushbū ham bachche phailā.eñ

    hum bhaarat ki phulwari ke rang birange phul

    ek duje ko kanTa samjhen ye hai apni bhul

    ek hi dharti se hum sab ne janm liya hai sathi

    rang-o-rup isi dharti se hum ne liya hai sathi

    ek hawa mein sans hain lete ek faza mein jite hain

    ganga aur jamuna ka pani hum sab mil kar pite hain

    rang-o-rup alag alag hai phir bhi ek hai jiwan

    alag alag hai apni kyari phir bhi ek hai jiwan

    bhaarat des ki phulwari ko mil kar KHub sajaen

    sare jag mein pyar ki KHushbu hum bachche phailaen

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now