Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

choga chunti chiDiya ke dukh

Najma Mansoor

choga chunti chiDiya ke dukh

Najma Mansoor

MORE BYNajma Mansoor

    chogā chuntī chiḌiyā terī palkoñ par ugne vaale

    ḳhvāboñ ke añkhue

    kaun chun saktā hai

    to ye bhī nahīñ jāntī

    jaane kab koī mailī nazroñ jaal tujh par pheñke

    aur be-nūr āñkhoñ ke pinjre meñ qaid ho kar

    tamām umr ke liye

    chahaknā bhuul jaa.e

    chiḌiyā to paglī hai

    chogā chuntī ḳhvāb dekhtī hai

    tujhe kyā ma.alūm hai

    kabhī kabhī ḳhvāboñ maañg bharne ke liye

    āñkhoñ vīrān khiḌkiyoñ se

    ThiThure hue rut jage

    buuñd buuñd dil zamīn par Tapakte haiñ to

    vahāñ duur duur tak udāsī bharā jañgal

    ag aatā hai

    jis par sivā.e dukh dard ke koī phal nahīñ lagtā

    magar bholī chiḌiyā

    ye sab nahīñ jāntī

    shāyad kabhī jaan bhī nahīñ saktī

    choga chunti chiDiya teri palkon par ugne wale

    KHwabon ke ankhue

    kaun chun sakta hai

    tu to ye bhi nahin jaanti

    jaane kab koi maili nazron ka jal tujh par phenke

    aur tu be-nur aankhon ke pinjre mein qaid ho kar

    tamam umr ke liye

    chahakna bhul jae

    chiDiya tu to pagli hai

    choga chunti KHwab dekhti hai

    tujhe kya malum hai

    kabhi kabhi KHwabon ki mang bharne ke liye

    aankhon ki viran khiDkiyon se

    ThiThure hue rut jage

    bund bund dil ki zamin par Tapakte hain to

    wahan dur dur tak udasi bhara jangal

    ag aata hai

    jis par siwae dukh dard ke koi phal nahin lagta

    magar bholi chiDiya

    tu ye sab nahin jaanti

    shayad kabhi jaan bhi nahin sakti

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now