chuha bahadur
kattar ek milī chūhe ko sochā us ne kyā banvā.e
dil meñ sochā goTe vaalī Topī lījiye ik banvā.e
gayā dauḌtā darzī ke ghar bolā Topī kar tayyār
mujh ko rāj-kumārī lene jaanā hogā nadiyā paar
darzī bolā bhaag yahāñ se na kar tū mujh se takrār
chūhe jī ko burā lagā ye darzī kā sīdhā inkār
ġhusse se chuuñ chuuñ chuuñ kar ke apne tīkhe daañt dikhā.e
kapḌe kaT jaane ke Dar se ab to darzī jī ghabrā.e
kapḌā de kar darzī ke ghar chūhā gayā baḌe bāzār
bolā jauharī se ai bhaa.ī de sachchā goTā gaz chaar
mujh ko rājkumārī lene jaanā hogā nadiyā paar
jauharī bolā bhaag yahāñ se na kar tū mujh se takrār
ġhusse se chuuñ chuuñ chuuñ kar ke apne tīkhe daañt dikhā.e
goTā kaT jaane ke Dar se ab to jauharī jī ghabrā.e
goTā le kar darzī ke ghar pahuñchā Topī thī tayyār
Taañg diyā darzī ne jhaT-paT Topī par goTā gaz chaar
Topī oḌh chūhā itrāyā banā chakorā bāram-bār
phir apnī lambī sī dum meñ bāñdhī chhoTī sī talvār
mochī ko bhī dhamkā kar ke juute chaar liye banvā.e
raaja jaan sabhī chūhoñ ne pair chhue aur siis navā.e
bolā chūhā chuuñ chuuñ chuuñ chuuñ bhārī fauj karo tayyār
mujh ko rājkumārī lene jaanā hogā nadiyā paar
idhar udhar se yahāñ vahāñ se nikle chūhe chaar hazār
sab se aage chūhā raaja pahuñche Topī le talvār
nadiyā aa.ī kuude raaja chhoTī sī chhātī phulā.e
Duub ga.e pal bhar meñ bhaa.ī chūhe bole haa.e haa.e
kattar ek mili chuhe ko socha us ne kya banwae
dil mein socha goTe wali Topi lijiye ek banwae
gaya dauDta darzi ke ghar bola Topi kar tayyar
mujh ko raj-kumari lene jaana hoga nadiya par
darzi bola bhag yahan se na kar tu mujh se takrar
chuhe ji ko bura laga ye darzi ka sidha inkar
ghusse se chun chun chun kar ke apne tikhe dant dikhae
kapDe kaT jaane ke Dar se ab to darzi ji ghabrae
kapDa de kar darzi ke ghar chuha gaya baDe bazar
bola jauhari se ai bhai de sachcha goTa gaz chaar
mujh ko rajkumari lene jaana hoga nadiya par
jauhari bola bhag yahan se na kar tu mujh se takrar
ghusse se chun chun chun kar ke apne tikhe dant dikhae
goTa kaT jaane ke Dar se ab to jauhari ji ghabrae
goTa le kar darzi ke ghar pahuncha Topi thi tayyar
Tang diya darzi ne jhaT-paT Topi par goTa gaz chaar
Topi oDh chuha itraya bana chakora baram-bar
phir apni lambi si dum mein bandhi chhoTi si talwar
mochi ko bhi dhamka kar ke jute chaar liye banwae
raja jaan sabhi chuhon ne pair chhue aur sis nawae
bola chuha chun chun chun chun bhaari fauj karo tayyar
mujh ko rajkumari lene jaana hoga nadiya par
idhar udhar se yahan wahan se nikle chuhe chaar hazar
sab se aage chuha raja pahunche Topi le talwar
nadiya aai kude raja chhoTi si chhati phulae
Dub gae pal bhar mein bhai chuhe bole hae hae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.