Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilli dangon ke beach

Ashu mishra

dilli dangon ke beach

Ashu mishra

MORE BYAshu mishra

    dharm ke naam pe qātil himāyat karnā

    aur phir mulk ke jalne shikāyat karnā

    kitnā āsān hai hindū-o-musalmāñ honā

    sirf mushkil hai kisī shaḳhs insāñ honā

    zulm dhūp-o-imkāñ bhī nahīñ chhāñv

    ek haal hai ab gaañv sahrāoñ

    aise hālāt meñ āñkhoñ meñ lahū ko laao

    naġhma-e-ishq ko sab zor se gaao gaao

    koī bhī daaġh na nafrat jabīñ par aa.e

    bādshāh bahrā hai ab zor se chīḳhā jaa.e

    dharm ke nam pe qatil ki himayat karna

    aur phir mulk ke jalne ki shikayat karna

    kitna aasan hai hindu-o-musalman hona

    sirf mushkil hai kisi shaKHs ka insan hona

    zulm ki dhup-o-imkan bhi nahin chhanw ka

    ek sa haal hai ab ganw ka sahraon ka

    aise haalat mein aankhon mein lahu ko lao

    naghma-e-ishq ko sab zor se gao gao

    koi bhi dagh na nafrat ka jabin par aae

    baadshah bahra hai ab zor se chiKHa jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now