Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghaalib

MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb

    shā.ir-e-hindostāñ ai shā.ir-e-jādū-bayāñ

    hind ke ḳhum-ḳhāna-e-irfāñ ke ai pīr-e-muġhāñ

    tere naġhmoñ meñ nashāt-e-zindagī hai mahak

    kaif se gul tabassum zikr-e-dil husn-e-butāñ

    tere naġhmoñ meñ dil-e-insāñ hai soz-o-gudāz

    jin se aksar hai ibārat zindagī dāstāñ

    hai ḳhayāl-o-fikr duniyā tire har lafz meñ

    paikar-e-ash.ār hai kitnā hasīñ kitnā javāñ

    terī nazroñ ne TaTolā is tarah insāñ dil

    mere dil raaz mujh par kiyā ne ayaañ

    zindagī insāñ hai terī nazar meñ ik qafas

    jis meñ hai hadd-e-nazar tak tīliyāñ tīliyāñ

    faiz se tere hai urdu ye husn-e-jamāl

    tere baa.is banī vo raunaq-e-bazm-e-jahāñ

    tere naġhmoñ ko kabhī bhī maut aa saktī nahīñ

    lā-zavāl un kashish un bahāreñ jāvedāñ

    tere ilm-o-fan shohrat maiñ aalam kyā kahūñ

    jhuk gayā qadmoñ pe tere bā-adab saarā jahāñ

    shair-e-hindostan ai shair-e-jadu-bayan

    hind ke KHum-KHana-e-irfan ke ai pir-e-mughan

    tere naghmon mein nashat-e-zindagi ki hai mahak

    kaif se gul ka tabassum zikr-e-dil husn-e-butan

    tere naghmon mein dil-e-insan ka hai soz-o-gudaz

    jin se aksar hai ibarat zindagi ki dastan

    hai KHayal-o-fikr ki duniya tere har lafz mein

    paikar-e-ashaar hai kitna hasin kitna jawan

    teri nazron ne TaTola is tarah insan ka dil

    mere dil ka raaz mujh par hi kiya tu ne ayan

    zindagi insan ki hai teri nazar mein ek qafas

    jis mein hai hadd-e-nazar tak tiliyan hi tiliyan

    faiz se tere hi hai urdu ka ye husn-e-jamal

    tere bais hi bani wo raunaq-e-bazm-e-jahan

    tere naghmon ko kabhi bhi maut aa sakti nahin

    la-zawal un ki kashish un ki bahaaren jawedan

    tere ilm-o-fan ki shohrat ka main aalam kya kahun

    jhuk gaya qadmon pe tere ba-adab sara jahan

    Source:

    نغمۂ زندگی (Pg. 101)

    • Author: جے کرشن چودھری حبیب
      • Publisher: جے کرشن چودھری حبیب
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now