aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahani hai ye chyunTi ki

Mohammad Shafiuddin Nayyar

kahani hai ye chyunTi ki

Mohammad Shafiuddin Nayyar

MORE BYMohammad Shafiuddin Nayyar

    kahānī hai ye chyūñTī

    jo ik dam ban ga.ī hāthī

    gayā hāthī vo dariyā par

    to ik dam ban gayā machhlī

    vo machhlī jaal meñ aa.ī

    to ik dam ban ga.ī makkhī

    vo makkhī duudh par baiThī

    to ik dam ban ga.ī barfī

    vo barfī thī rakābī meñ

    to us ko khā ga.ī billī

    vo billī jab ga.ī bāhar

    to us ko mil ga.ī murġhī

    vo murġhī aur vo billī

    chalīñ mil kar ga.iiñ dillī

    kahani hai ye chyunTi ki

    jo ek dam ban gai hathi

    gaya hathi wo dariya par

    to ek dam ban gaya machhli

    wo machhli jal mein aai

    to ek dam ban gai makkhi

    wo makkhi dudh par baiThi

    to ek dam ban gai barfi

    wo barfi thi rakabi mein

    to us ko kha gai billi

    wo billi jab gai bahar

    to us ko mil gai murghi

    wo murghi aur wo billi

    chalin mil kar gain dilli

    Source:

    Nai Kahaniyan (Pg. 22)

    • Author: Mohammad Shafiuddin Nayyar
      • Publisher: Maktaba Jamia Limited, New Delhi
      • Year of Publication: 1943

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now