Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyunki

MORE BYPriya Shandilya

    itne ūñche sirhāne mujhe aadat nahīñ hai

    kyūñki tere bāzuoñ meñ sone aadat mujhe hai

    kahīñ miltā nahīñ chain mujhe

    kyūñki terī bāñhoñ meñ miltī rāhat mujhe hai

    ḳhvāboñ se rū-ba-rū hoñgī is zarūrat nahīñ hai

    kyūñki tujh se baḌī koī ḳhvāhish mujhe nahīñ hai

    niiñd ke palle ab chāhat nahīñ hai

    kyūñki sukūn chādar maiñ ne oḌh rakkhī hai

    koī duujā kar luuñ kaam aisā vaqt nahīñ hai

    kyūñki koī lamha tere pyaar se fursat nahīñ hai

    raat ke ghuñghaT meñ jugnuoñ aarzū nahīñ hai

    kyūñki har konā añdhere tujh se raushan huī hai

    mere hāthoñ ko thaam ne diyā jo ehsās mujhe hai

    is ehsās ke aage kisī koī qīmat nahīñ

    itne unche sirhane ki mujhe aadat nahin hai

    kyunki tere bazuon mein sone ki aadat mujhe hai

    kahin milta nahin chain mujhe

    kyunki teri banhon mein milti rahat mujhe hai

    KHwabon se ru-ba-ru hongi is ki zarurat nahin hai

    kyunki tujh se baDi koi KHwahish mujhe nahin hai

    nind ke palle ki ab chahat nahin hai

    kyunki sukun ki chadar main ne oDh rakkhi hai

    koi duja kar lun kaam aisa waqt nahin hai

    kyunki koi lamha tere pyar se fursat nahin hai

    raat ke ghunghaT mein jugnuon ki aarzu nahin hai

    kyunki har kona andhere ka tujh se raushan hui hai

    mere hathon ko tham tu ne diya jo ehsas mujhe hai

    is ehsas ke aage kisi ki koi qimat nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now