Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

namaz ko chalo

Aadil Aseer Dehlvi

namaz ko chalo

Aadil Aseer Dehlvi

MORE BYAadil Aseer Dehlvi

    namāz ko jo jāoge

    ḳhudā qurb pāoge

    kaheñge tum ko nek sab

    milegā tum ko pyārā rab

    uTho uTho namāz ko

    chalo chalo namāz ko

    hai muḳhtasar zindagī

    nahīñ hai achchhī kāhilī

    ḳhudā uTh ke naam lo

    chalo to sab ye kaho

    uTho uTho namāz ko

    chalo chalo namāz ko

    vuzū karo vuzū karo

    magar dhyān ye rakho

    vuzū se tan bhī saaf ho

    vuzū se man bhī saaf ho

    uTho uTho namāz ko

    chalo chalo namāz ko

    sadā rakheñ ye dhyān ab

    ki ḳhatm ho azaan jab

    har ek kaam chhoḌ deñ

    ḳhudā se dil ko joḌ leñ

    uTho uTho namāz ko

    chalo chalo namāz ko

    namaz ko jo jaoge

    KHuda ka qurb paoge

    kahenge tum ko nek sab

    milega tum ko pyara rab

    uTho uTho namaz ko

    chalo chalo namaz ko

    hai muKHtasar si zindagi

    nahin hai achchhi kahili

    KHuda ka uTh ke nam lo

    chalo to sab ye kaho

    uTho uTho namaz ko

    chalo chalo namaz ko

    wuzu karo wuzu karo

    magar dhyan ye rakho

    wuzu se tan bhi saf ho

    wuzu se man bhi saf ho

    uTho uTho namaz ko

    chalo chalo namaz ko

    sada rakhen ye dhyan ab

    ki KHatm ho azan jab

    har ek kaam chhoD den

    KHuda se dil ko joD len

    uTho uTho namaz ko

    chalo chalo namaz ko

    Source:

    Kulliyat-e-Aadil (Pg. 41)

    • Author: Aadil Aseer Dehlvi
      • Publisher: Malik Book Depot, Delhi
      • Year of Publication: 2008

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now