nazm
ḳhatra hai zardāroñ ko
girtī huī dīvāroñ ko
sadiyoñ ke bīmāroñ ko
ḳhatre meñ islām nahīñ
saarī zamīñ ko ghere hue haiñ
āḳhir chand gharāne kyoñ
naam nabī kā lene vaale
ulfat se begāne kyoñ
ḳhatra hai ḳhūñ-ḳhvāroñ ko
rang-birangī caroñ ko
america ke pyāroñ ko
ḳhatre meñ islām nahīñ
aaj hamāre nā'roñ se
larzā hai bapā aivānoñ meñ
bik na sakeñge hasrat-o-armāñ
ūñchī sajī dukānoñ meñ
ḳhatra hai baT-māroñ ko
maġhrib ke bāzāroñ ko
choroñ ko makkāroñ ko
ḳhatre meñ islām nahīñ
amn kā parcham le kar uTTho
har insān se pyaar karo
apnā to manshūr hai 'jālib'
saare jahāñ se pyaar karo
ḳhatra hai darbāroñ ko
shāhoñ ke ġham-ḳhvāroñ ko
navvāboñ ġhaddāroñ ko
ḳhatre meñ islām nahīñ
KHatra hai zardaron ko
girti hui diwaron ko
sadiyon ke bimaron ko
KHatre mein islam nahin
sari zamin ko ghere hue hain
aaKHir chand gharane kyon
nam nabi ka lene wale
ulfat se begane kyon
KHatra hai KHun-KHwaron ko
rang-birangi caron ko
america ke pyaron ko
KHatre mein islam nahin
aaj hamare na'ron se
larza hai bapa aiwanon mein
bik na sakenge hasrat-o-arman
unchi saji dukanon mein
KHatra hai baT-maron ko
maghrib ke bazaron ko
choron ko makkaron ko
KHatre mein islam nahin
amn ka parcham le kar uTTho
har insan se pyar karo
apna to manshur hai 'jalib'
sare jahan se pyar karo
KHatra hai darbaron ko
shahon ke gham-KHwaron ko
nawwabon ghaddaron ko
KHatre mein islam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.