Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

paris

Atif tauqeer

paris

Atif tauqeer

MORE BYAtif tauqeer

    aaj is shahr-e-mo.attar ne pukārā hai mujhe

    aaj phir nauha-kunāñ haiñ yahāñ galiyoñ vaale

    ye vo galiyāñ haiñ jo ḳhushbū qabā.eñ thiiñ kabhī

    ye vo chehre haiñ jo mash.hūr the kaliyoñ vaale

    inhī galiyoñ se thī vābasta na.ī fikr rah

    unhīñ galiyoñ meñ ma.ānī ke sabaq milte the

    vahshat-e-daur-e-siyāsat pe huā kartī thī bahas

    aur qalam hañste hue zāviye ban jaate the

    mastī-e-tīra-shabī par hai gunah ḳhāka

    shaiḳh-o-mullā-o-kalīsā ho ki shah ḳhāka

    sūrat-e-maz.hab-o-īmān-o-mavaddat pe ḳhaak

    aur ik pal meñ kisī dīn-e-panah ḳhāka

    jo adū haiñ vo hamāre adū kab haiñ faqat

    ham hadaf kab haiñ ki un hadaf āsānī hai

    un ko ma.alūm nahīñ ham haiñ koī shaukat-e-zau

    ilm qatl faqat maz.habī nādānī hai

    is se pahle bhī to aisī qayāmat TuuTī

    is se pahle bhī sajā ilm maqtal logo

    is se pahle bhī to vahshat chalan aam huā

    is se pahle bhī to barsā yahī bādal logo

    nok-e-ḳhanjar bhī vahī shahr maqtal bhī vahī

    maktab-o-tifl rah-e-ilm gardan huī daaġh

    shab huvaidā huī tārīkiyāñ jab jab bhī baḌhīñ

    ḳhilqat-e-shahr-e-farozāñ ne jalā.e haiñ charāġh

    irtiqā shar sharī.at se nahīñ ruk saktā

    ye qasīda bhī na.e ahd se paivasta hai

    ya.anī sūraj jo bujhegā to jal uTTheñge diye

    kārvāñ sub.h us lau se vābasta hai

    phir baneñge na.e ḳhāke ki yahī sūrat-e-shab

    vahshat-e-daur-e-siyāsat gavāhī hogī

    shahr bhī shahr gulistāñ tarah jāgegā

    lafz ke haath se dahshat tabāhī hogī

    aaj is shahr-e-moattar ne pukara hai mujhe

    aaj phir nauha-kunan hain yahan galiyon wale

    ye wo galiyan hain jo KHushbu ki qabaen thin kabhi

    ye wo chehre hain jo mashhur the kaliyon wale

    inhi galiyon se thi wabasta nai fikr ki rah

    unhin galiyon mein maani ke sabaq milte the

    wahshat-e-daur-e-siyasat pe hua karti thi bahas

    aur qalam hanste hue zawiye ban jate the

    masti-e-tira-shabi par hai gunah ka KHaka

    shaiKH-o-mulla-o-kalisa ho ki shah ka KHaka

    surat-e-mazhab-o-iman-o-mawaddat pe KHak

    aur ek pal mein kisi din-e-panah ka KHaka

    jo adu hain wo hamare hi adu kab hain faqat

    hum hadaf kab hain ki un ka hadaf aasani hai

    un ko malum nahin hum hain koi shaukat-e-zau

    ilm ka qatl faqat mazhabi nadani hai

    is se pahle bhi to aisi hi qayamat TuTi

    is se pahle bhi saja ilm ka maqtal logo

    is se pahle bhi to wahshat ka chalan aam hua

    is se pahle bhi to barsa yahi baadal logo

    nok-e-KHanjar bhi wahi shahr ka maqtal bhi wahi

    maktab-o-tifl rah-e-ilm ki gardan hui dagh

    shab huwaida hui tarikiyan jab jab bhi baDhin

    KHilqat-e-shahr-e-farozan ne jalae hain charagh

    irtiqa shar ya shariat se nahin ruk sakta

    ye qasida bhi nae ahd se paiwasta hai

    yani suraj jo bujhega to jal uTThenge diye

    karwan subh ka us lau hi se wabasta hai

    phir banenge nae KHake ki yahi surat-e-shab

    wahshat-e-daur-e-siyasat ki gawahi hogi

    shahr bhi shahr gulistan ki tarah jagega

    lafz ke hath se dahshat ki tabahi hogi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now