Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qudrat ki flashlight

Asima Tahir

qudrat ki flashlight

Asima Tahir

MORE BYAsima Tahir

    raat ke naqsh ujaal kar

    bālTī meñ bhar diye ga.e

    chāñd jin meñ

    apnī kirnoñ ke motī uchhāltā thā

    jaltī huī hathelī par kis ne rakhā thā chāñd ko

    vo haath apne mal rahī thī

    ā.īna dekhtā thā

    manzaroñ ke dūsrī taraf

    bheḌiyā apnī gambhīr āvāz fazā meñ bikhertā

    bastiyoñ meñ ḳhauf uñDeltā thā

    scrēn parda badal do

    ā.īne ko dekhne do

    sub.h-e-nau motiye taaza ḳhushbū

    dālān meñ abbā ke saath chaa.e piinā

    schōl bag uThā.e lambī saḌak safar

    use dekhne do

    vo sabz khilkhilāte manzar

    are

    lamp bujhā diyā gayā

    sabhī manzar ulaT diye ga.e

    ai chakkar lagātī huī chamgādaḌ batā

    qudrat flashlight kis ke haath meñ hai

    raat ke naqsh ujal kar

    baalTi mein bhar diye gae

    chand jin mein

    apni kirnon ke moti uchhaalta tha

    jalti hui hatheli par kis ne rakha tha chand ko

    wo hath apne mal rahi thi

    aaina dekhta tha

    manzaron ke dusri taraf

    bheDiya apni gambhir aawaz faza mein bikherta

    bastiyon mein KHauf unDelta tha

    screen ka parda badal do

    aaine ko dekhne do

    subh-e-nau motiye ki taza KHushbu

    dalan mein abba ji ke sath chae pina

    school ka bag uThae lambi saDak ka safar

    use dekhne do

    wo sabz khilkhilate manzar

    are

    lamp bujha diya gaya

    sabhi manzar ulaT diye gae

    ai chakkar lagati hui chamgadaD tu hi bata

    qudrat ki flashlight kis ke hath mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now