rishte ki zanjir
dil kī gahrā.ī se maiñ ne chāhā tujhe
apne ḳhvāboñ kī duniyā tujhe sauñp dī
be-niyāzāna tū misl-e-sham’-e-sahar
merī hālat se be-fikr jaltī rahī
aur
āñkhoñ kā kājal pighaltā rahā
qurbatoñ meñ bhī the is qadar fāsle
donoñ milte rahe ajnabī kī tarah
kitne din aa.e aur aa ke jaate rahe
merī jānib se iz.hār-e-ulfat nahīñ
terī jānib se koī ishārā nahīñ
maiñ ne samjhā tirī be-ruḳhī dekh kar
tere dil meñ hī jaise harārat nahīñ
mujh se rishta nahīñ
kuchh ta'alluq nahīñ kuchh mohabbat nahīñ
aur tujh se mirā pyaar yak-tarfa hai
din guzarte rahe
aur phir
maiñ ne dekhā jo kal copiyoñ par tirī
naam likh likh ke apnā miTāyā huā
ye yaqīñ aa gayā
dard-e-dil ye mirā sirf merā nahīñ
balki terā bhī hai
rāh-e-ulfat meñ tū bhī mire saath hai
dil ki gahrai se main ne chaha tujhe
apne KHwabon ki duniya tujhe saunp di
be-niyazana tu misl-e-sham’-e-sahar
meri haalat se be-fikr jalti rahi
aur
aankhon ka kajal pighalta raha
qurbaton mein bhi the is qadar fasle
donon milte rahe ajnabi ki tarah
kitne din aae aur aa ke jate rahe
meri jaanib se izhaar-e-ulfat nahin
teri jaanib se koi ishaara nahin
main ne samjha teri be-ruKHi dekh kar
tere dil mein hi jaise hararat nahin
mujh se rishta nahin
kuchh ta'alluq nahin kuchh mohabbat nahin
aur tujh se mera pyar yak-tarfa hai
din guzarte rahe
aur phir
main ne dekha jo kal copiyon par teri
nam likh likh ke apna miTaya hua
ye yaqin aa gaya
dard-e-dil ye mera sirf mera nahin
balki tera bhi hai
rah-e-ulfat mein tu bhi mere sath hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.