Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sabzi ugao

Sham Durrani

sabzi ugao

Sham Durrani

MORE BYSham Durrani

    aao ghar meñ sabzī ugaao

    phir sab mil kar maze se khaao

    pahle jhaT-paT kyārī khodo

    phir ye saarī sabzī bo do

    kaddū karailā arvī aalū

    baigan TinDā aur shaftālū

    muulī gājar shaljam torī

    laal harī aur gorī gorī

    dhaniya mirchīñ lahsan adrak

    hariyālī hai aañkh ThanDak

    idhar bhī kyārī khodo riinā

    is meñ baunā hai podīnā

    jaao loTā laao raanī

    kyārī ko denā hai paanī

    laukī boī khīrā boyā

    methī pālak bhinDī soyā

    dekho to kyā ḳhuub maza hai

    saarā āñgan harā-bharā hai

    is se sehat daulat barakat

    mahñgā.ī meñ hai ye rahmat

    jab bhī shaam ye sabzī khaao

    pahle mohalle baTvāo

    aao ghar mein sabzi ugao

    phir sab mil kar maze se khao

    pahle jhaT-paT kyari khodo

    phir ye sari sabzi bo do

    kaddu karaila arwi aalu

    baigan TinDa aur shaftalu

    muli gajar shaljam tori

    lal hari aur gori gori

    dhaniya mirchin lahsan adrak

    hariyali hai aankh ki ThanDak

    idhar bhi kyari khodo rina

    is mein bauna hai podina

    jao loTa lao rani

    kyari ko dena hai pani

    lauki boi khira boya

    methi palak bhinDi soya

    dekho to kya KHub maza hai

    sara aangan hara-bhara hai

    is se sehat daulat barakat

    mahngai mein hai ye rahmat

    jab bhi sham ye sabzi khao

    pahle mohalle baTwao

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now