sham

MORE BY Ataur Rahman Tariq

  ghar lauTā sūraj bechāra dhīre dhīre

  phail gayā har añdhiyārā dhīre dhīre

  maañd huī rañgīn shafaq saarī shoḳhī

  dhuāñ huā vo manzar pyārā dhīre dhīre

  sūñgh liyā kal vaadī ko ik gahrī chup ne

  duur kahīñ gaa.e banjārā dhīre dhīre

  mandir meñ nāqūs bajātā jhīno jhīno

  masjid meñ gūñje naqqārā dhīre dhīre

  aan rahā koThe ke uupar chalte chalte

  khoyā khoyā chāñd hamārā dhīre dhīre

  bādal pīchhe sulag rahā hai mīThe mīThe

  niil gagan meñ shaam taarā dhīre dhīre

  māñjhī gaa.e gaatā jaa.e haiyyā haiyyā

  lo kashtī ne chhuā kinārā dhīre dhīre

  nindiyā i sapne laa.ī chorī chorī

  soyā 'tāriq' raaj dulārā dhīre dhīre

  ghar lauTa suraj bechaara dhire dhire

  phail gaya har su andhiyara dhire dhire

  mand hui rangin shafaq ki sari shoKHi

  dhuan hua wo manzar pyara dhire dhire

  sungh liya kal wadi ko ek gahri chup ne

  dur kahin gae banjara dhire dhire

  mandir mein naqus bajata jhino jhino

  masjid mein gunje naqqara dhire dhire

  aan raha koThe ke upar chalte chalte

  khoya khoya chand hamara dhire dhire

  baadal pichhe sulag raha hai miThe miThe

  nil gagan mein sham ka tara dhire dhire

  manjhi gae gata jae haiyya haiyya

  lo kashti ne chhua kinara dhire dhire

  nindiya i sapne lai chori chori

  soya 'tariq' raj dulara dhire dhire

  Source:

  Tagged Under

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY