aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr-ashob

Ekram Khawar

shahr-ashob

Ekram Khawar

MORE BYEkram Khawar

    jin dinoñ

    maiñ apnī tanhā.ī nauha likh rahā thā

    bastiyāñ ābād thiiñ raunaq bharī thī shaam

    aur jaaḌā gulābī

    taaza taaza shahr meñ dāḳhil huā thā

    jin dinoñ maiñ

    pā-pyāda aur phir sadā zabāñ meñ

    soz-hā-e-andarūñ ke qissa-e-pārīna tafsīl meñ ta.abīr meñ

    uljhā huā thā

    bheḌiye āzād the

    aur ek qātil raag

    bajātā rahā thā

    ḳhūb-tar se ḳhūb-tar thā

    qatl naġhma

    jis ne jo samjhā vahī tārīḳh thī

    ḳhvāja-sarā-e-shahr dārussaltanat meñ

    karbalā ke huzn meñ

    ek vahshiyāna raqs taḳhlīq meñ masraf thā

    aur sab tamāshā.ī sabhī maqtūl saare

    dam-ba-ḳhud mab.hūt ḳhāmoshī se sunte rahe the

    aur mausīqī se lag-bhag nā-balad har shaḳhs

    aglī saf meñ baiThā

    taal har gat par har jhankār pe

    behāl hotā rahā thā

    ek qātil aur surīlā raag

    bajātā rahā thā

    jin dinon

    main apni tanhai ka nauha likh raha tha

    bastiyan aabaad thin raunaq bhari thi sham

    aur jaDa gulabi

    taza taza shahr mein daKHil hua tha

    jin dinon main

    pa-pyaada aur phir sada zaban mein

    soz-ha-e-andarun ke qissa-e-parina ki tafsil mein tabir mein

    uljha hua tha

    bheDiye aazad the

    aur ek qatil rag

    bajata ja raha tha

    KHub-tar se KHub-tar tha

    qatl ka naghma

    jis ne jo samjha wahi tariKH thi

    KHwaja-sara-e-shahr darussaltanat mein

    karbala ke huzn mein

    ek wahshiyana raqs ki taKHliq mein masraf tha

    aur sab tamashai sabhi maqtul sare

    dam-ba-KHud mabhut KHamoshi se sunte ja rahe the

    aur mausiqi se lag-bhag na-balad har shaKHs

    agli saf mein baiTha

    tal ki har gat par har jhankar pe

    behaal hota ja raha tha

    ek qatil aur surila rag

    bajata ja raha tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now