shararat ki putli

Mohammad Shafiuddin Nayyar

shararat ki putli

Mohammad Shafiuddin Nayyar

MORE BY Mohammad Shafiuddin Nayyar

  sharārat putlī thī baajī munnī

  vo itnī fitnī thī baajī munnī

  idhar aur udhar thī vo bas aatī jaatī

  yuuñ phirtī rahtī vo DanDe bajātī

  kabhī be-kahe chiiz us uThā

  na pūchhā-gachhā muñh meñ rakh jhaT se khā

  kabhī muñh banāyā kabhī muñh chiḌhāyā

  kabhī paas baiThe hue ko haTāyā

  kabhī baal noche kabhī chuTkiyāñ liiñ

  kabhī pin chubho kabhī ghuḌkiyāñ diiñ

  kabhī is sahelī juutā chhupāyā

  kabhī us sahelī halva uḌāyā

  kitāb us phāḌī davāt us toḌī

  ġharaz koī baaqī sharārat na chhoḌī

  sharārat se bas buuTī buuTī bharī thī

  vo munnī sharārat ik phuljhaḌī thī

  kaḌhā.ī banā.ī na khānā pakānā

  na siinā pironā na paḌhnā paḌhānā

  vo ghar koī kām-dhandā na kartī

  yuuñ saare din ghar meñ be-kār phirtī

  kahānī ye munnī hai ḳhuub 'nayyar'

  paḌhī jā.egī shauq se ḳhuub ghar ghar

  shararat ki putli thi baji ki munni

  wo itni si fitni thi baji ki munni

  idhar aur udhar thi wo bas aati jati

  yun hi phirti rahti wo DanDe bajati

  kabhi be-kahe chiz us ki uTha li

  na puchha-gachha munh mein rakh jhaT se kha li

  kabhi munh banaya kabhi munh chiDhaya

  kabhi pas baiThe hue ko haTaya

  kabhi baal noche kabhi chuTkiyan lin

  kabhi pin chubho di kabhi ghuDkiyan din

  kabhi is saheli ka juta chhupaya

  kabhi us saheli ka halwa uDaya

  kitab us ki phaDi dawat us ki toDi

  gharaz koi baqi shararat na chhoDi

  shararat se bas buTi buTi bhari thi

  wo munni shararat ki ek phuljhaDi thi

  kaDhai banai na khana pakana

  na sina pirona na paDhna paDhana

  wo ghar ka koi kaam-dhanda na karti

  yun hi sare din ghar mein be-kar phirti

  kahani ye munni ki hai KHub 'nayyar'

  paDhi jaegi shauq se KHub ghar ghar

  Source:

  Tagged Under

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY