Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

walid

Noor N Sahir

walid

Noor N Sahir

MORE BYNoor N Sahir

    abbā tum mujh ko yaad aate ho

    tum mujhe har ghaḌī rulāte ho

    tum ga.e ho akelā kar ke mujhe

    kar diyā zinda tum ne mar ke mujhe

    bāñhoñ vaalī vo khatiyā ḳhālī hai

    raat kyā zindagī kaalī hai

    zindagī ḳhālī ḳhālī lagtī hai

    bas yahī soch dil meñ paltī hai

    sirf tanhā.ī dekhtā huuñ ab

    jaane kyā kyā maiñ sochtā huuñ ab

    kaun ab hausla baḌhā.egā

    kaun ab piiTh thapthapā-e-gā

    kaun ab sar pe haath rakkhegā

    mere baare meñ kaun sochegā

    kaun degā dilāsa duniyā meñ

    ab rahūñgā maiñ pyāsā duniyā meñ

    kaun DāñTegā ġhalatī karne par

    kaun Tokegā ab mujhe yaaro

    bin tumhāre to suunā sab ghar hai

    dil meñ har vaqt ik nayā Dar hai

    kaun bolegā khānā khā beTā

    kaun pūchhegā kahāñ par hai

    kaun ab pyaar se pukāregā

    kaun ab zindagī sañvāregā

    kis ke nazdīk ab maiñ baiThūñgā

    dil bāteñ maiñ kis se bolūñgā

    tum se har baat maiñ share kartā

    tum the to maiñ kabhī nahīñ Dartā

    ab maiñ kaise rahūñ be-ḳhauf-o-ḳhatar

    sāmne lākhoñ dukh khaḌe haiñ satar

    bas yahī fikr khā rahī hai mujhe

    aap yaad aa rahī hai mujhe

    zindagī kis qadar akelī hai

    koī uljhī huī pahelī hai

    tum ne ye zindagānī hai mujhe

    koī apnī kahānī hai mujhe

    har kahānī ko ḳhatm honā hai

    zindagānī ko ḳhatm honā hai

    haañ magar is se pahle kyā hogā

    sochtā huuñ ki jaane kyā hogā

    koī apnā na thā tumhāre sivā

    mere dukh dard tumhīñ the davā

    jab mujhe koī ġham satātā thā

    tum ko har baat maiñ batātā thā

    tum mujhe pyaar se biThāte the

    aur dhīre se muskurāte the

    phir maiñ har ġham ko bhuul jaatā thā

    aur phir maiñ bhī muskurātā thā

    abbā ab meñ akelā kaise jiyūñ

    itne dukh dard ġham maiñ kaise sahūñ

    merī himmat the hausla the tum

    zinda rahne aasrā the tum

    merī himmat bhī hausla bhī gayā

    zinda rahne aasrā bhī gayā

    ab faqat āh-o-zārī hai dil meñ

    ik na.ī jañg jaarī hai dil meñ

    dhaḌkaneñ tham ke ab dhaḌaktī haiñ

    sāñseñ har vaqt ab phaḌaktī haiñ

    aap ke chehre ziyārat ho

    phir mujhe āñkhoñ se mohabbat ho

    aap chehra kho gayā hai kahāñ

    dhuñdhlā dhuñdhlā huā hai merā jahāñ

    tum ne is pyaar se navāzā thā

    pyaar vo koī de nahīñ saktā

    tum ne maañ kamī na hone

    zindagī meñ namī na hone

    ham-nafas tum the tum dil-bar the

    ham-safar tum the tum rahbar the

    kaun ab sīdhī rah dikhā.egā

    kaun ab rāste banā.egā

    kaun ab pyaar se khilā.egā

    kaun āġhosh meñ sulā.egā

    ab mirā haath kaun thāmegā

    kaun ab merā bojh uThā.egā

    jab se duniyā se tum ga.e abbā

    mere sukh chain kho ga.e abbā

    tanhā tanhā huuñ be-sahārā huuñ

    koī bujhtā huā sitārā huuñ

    mujh pe ġham pahāḌ TuuTā hai

    aap saath jab se chhūTā hai

    beach dariyā meñ chhoḌ kashtī

    itnī jaldī batāo kyoñ kar

    ye bhī sochā nahīñ ki kyā hogā

    aap beTā Dūbtā hogā

    is ko ab kaun paar lā.egā

    ab vo dariyā meñ ġhote khā.egā

    nā-ḳhudā tum the tum masīhā the

    tum māñjhī the tum nayyā the

    baat ek aur hai jo karnī hai

    zindagī is tarah guzarnī hai

    jaise paanī binā koī machhlī

    ḳhuub taḌpī bahut bahut phaḌkī

    aur taḌapte hue phaḌakte hue

    bas yahī kah ga.ī vo marte hue

    bin sahāre koī nahīñ jiitā

    chāhe vo sher ho ho chītā

    merā har ik sahārā kho gayā

    phuuT kar aaj maiñ bhī ro gayā

    pahle ammī ga.iiñ ab abbā ga.e

    haa.e ab maiñ yatīm ho gayā

    abba tum mujh ko yaad aate ho

    tum mujhe har ghaDi rulate ho

    tum gae ho akela kar ke mujhe

    kar diya zinda tum ne mar ke mujhe

    banhon wali wo khatiya KHali hai

    raat kya zindagi hi kali hai

    zindagi KHali KHali lagti hai

    bas yahi soch dil mein palti hai

    sirf tanhai dekhta hun ab

    jaane kya kya main sochta hun ab

    kaun ab hausla baDhaega

    kaun ab piTh thapthapa-e-ga

    kaun ab sar pe hath rakkhega

    mere bare mein kaun sochega

    kaun dega dilasa duniya mein

    ab rahunga main pyasa duniya mein

    kaun DanTega ghalati karne par

    kaun Tokega ab mujhe yaro

    bin tumhaare to suna sab ghar hai

    dil mein har waqt ek naya Dar hai

    kaun bolega khana kha beTa

    kaun puchhega tu kahan par hai

    kaun ab pyar se pukarega

    kaun ab zindagi sanwarega

    kis ke nazdik ab main baiThunga

    dil ki baaten main kis se bolunga

    tum se har baat main share karta

    tum the to main kabhi nahin Darta

    ab main kaise rahun be-KHauf-o-KHatar

    samne lakhon dukh khaDe hain satar

    bas yahi fikr kha rahi hai mujhe

    aap ki yaad aa rahi hai mujhe

    zindagi kis qadar akeli hai

    koi uljhi hui paheli hai

    tum ne ye zindagani di hai mujhe

    koi apni kahani di hai mujhe

    har kahani ko KHatm hona hai

    zindagani ko KHatm hona hai

    han magar is se pahle kya hoga

    sochta hun ki jaane kya hoga

    koi apna na tha tumhaare siwa

    mere dukh dard ki tumhin the dawa

    jab mujhe koi gham satata tha

    tum ko har baat main batata tha

    tum mujhe pyar se biThate the

    aur dhire se muskuraate the

    phir main har gham ko bhul jata tha

    aur phir main bhi muskuraata tha

    abba ab mein akela kaise jiyun

    itne dukh dard gham main kaise sahun

    meri himmat the hausla the tum

    zinda rahne ka aasra the tum

    meri himmat bhi hausla bhi gaya

    zinda rahne ka aasra bhi gaya

    ab faqat aah-o-zari hai dil mein

    ek nai jang jari hai dil mein

    dhaDkanen tham ke ab dhaDakti hain

    sansen har waqt ab phaDakti hain

    aap ke chehre ki ziyarat ho

    phir mujhe aankhon se mohabbat ho

    aap ka chehra kho gaya hai kahan

    dhundhla dhundhla hua hai mera jahan

    tum ne is pyar se nawaza tha

    pyar wo koi de nahin sakta

    tum ne man ki kami na hone di

    zindagi mein nami na hone di

    ham-nafas tum the tum hi dil-bar the

    ham-safar tum the tum hi rahbar the

    kaun ab sidhi rah dikhaega

    kaun ab raste banaega

    kaun ab pyar se khilaega

    kaun aaghosh mein sulaega

    ab mera hath kaun thamega

    kaun ab mera bojh uThaega

    jab se duniya se tum gae abba

    mere sukh chain kho gae abba

    tanha tanha hun be-sahaara hun

    koi bujhta hua sitara hun

    mujh pe gham ka pahaD TuTa hai

    aap ka sath jab se chhuTa hai

    beach dariya mein chhoD di kashti

    itni jaldi batao kyon kar di

    ye bhi socha nahin ki kya hoga

    aap ka beTa Dubta hoga

    is ko ab kaun par laega

    ab wo dariya mein ghote khaega

    na-KHuda tum the tum masiha the

    tum hi manjhi the tum hi nayya the

    baat ek aur hai jo karni hai

    zindagi is tarah guzarni hai

    jaise pani bina koi machhli

    KHub taDpi bahut bahut phaDki

    aur taDapte hue phaDakte hue

    bas yahi kah gai wo marte hue

    bin sahaare koi nahin jita

    chahe wo sher ho ya ho chita

    mera har ek sahaara kho hi gaya

    phuT kar aaj main bhi ro hi gaya

    pahle ammi gain ab abba gae

    hae ab main yatim ho hi gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now