Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zauq-e-shairana

Rabia Sultana Nashad

zauq-e-shairana

Rabia Sultana Nashad

MORE BYRabia Sultana Nashad

    maiñ talāsh kar rahī thī ġham-e-dil kuchh bahāna

    mirī raah meñ ye nāhaq kahāñ aa gayā zamāna

    mire haal par karam kar kabhī dost ġhā.ebāna

    vo sukūn baḳhsh dil ko ki taḌap uThe zamāna

    hai tavāf ab bhī jaarī tire āstāñ lekin

    nahīñ mil sakā jabīñ ko tirā sañg-e-āstāna

    tirī bārgāh tak ho mirī kis tarah rasā.ī

    mujhe ga.ī gadā.ī tujhe taḳht-e-ḳhusravāna

    maiñ taḌap taḌap ke ġham meñ rahī be-qarār-o-muztar

    mire dil dhaḌkanoñ ko nahīñ sun sakā zamāna

    mirā shauq-e-sajda-rezī hai hanūz nā-mukammal

    mujhe koī ye batā de hai kahāñ vo āstāna

    mire ġham zindagī par mire hāl-e-bekasī par

    kabhī rahm un ko aa.e kabhī ro paḌe zamāna

    ka.ī baar aa ke bijlī girī sehn-e-gulsitāñ par

    ye rahī hamārī qismat ki jalā na āshiyāna

    mujhe hosh nahīñ kuchh ki maiñ shaad huuñ ki 'nāshād'

    hai surūr-e-mai se baḌh kar mirā zauq-e-shā.irāna

    main talash kar rahi thi gham-e-dil ka kuchh bahana

    meri rah mein ye nahaq kahan aa gaya zamana

    mere haal par karam kar kabhi dost ghaebana

    wo sukun baKHsh dil ko ki taDap uThe zamana

    hai tawaf ab bhi jari tere aastan ka lekin

    nahin mil saka jabin ko tera sang-e-astana

    teri bargah tak ho meri kis tarah rasai

    mujhe di gai gadai tujhe taKHt-e-KHusrawana

    main taDap taDap ke gham mein rahi be-qarar-o-muztar

    mere dil ki dhaDkanon ko nahin sun saka zamana

    mera shauq-e-sajda-rezi hai hanuz na-mukammal

    mujhe koi ye bata de hai kahan wo aastana

    mere gham ki zindagi par mere haal-e-bekasi par

    kabhi rahm un ko aae kabhi ro paDe zamana

    kai bar aa ke bijli giri sehn-e-gulsitan par

    ye rahi hamari qismat ki jala na aashiyana

    mujhe hosh hi nahin kuchh ki main shad hun ki 'nashad'

    hai surur-e-mai se baDh kar mera zauq-e-shairana

    Source:

    Toofan-e-Gham (Pg. 64)

    • Author: Rabia Sultana Nashad
      • Publisher: New Book Society of India, New Delhi
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now