Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj di talim gat gat ki mujhe talon ke bich

Mohsin Khan Mohsin

aaj di talim gat gat ki mujhe talon ke bich

Mohsin Khan Mohsin

MORE BYMohsin Khan Mohsin

    aaj ta.alīm gat gat mujhe tāloñ ke biich

    ab na ā.ūñgī kabhī ustād chāloñ ke biich

    chuum kar zulf-e-dotā phañstā nahīñ jāloñ ke biich

    saaf bach jaatā hai gorā saikaḌoñ kāloñ ke biich

    maiñ to ḳhud kahtī huuñ baajī ḳhaak Dālūñ shaiḳh par

    phāñs letā hai nigoḌā pyaar chāloñ ke biich

    bholā-pan ḳhud kar rahā hai surḳhi-e-lab se huzūr

    suut beḌī bharī hai aaj in gāloñ ke biich

    hote the do-chār dūlhā pahle kyā kyā pyaar se

    bigḌe ab kyā kyā buā do chaar sāloñ ke biich

    nauj luuñ shāleñ kisī maiñ buā shal ho ga.ī

    bheje ḳhat saukan ke mujh ko Daal kar shāloñ ke biich

    apnī bad-halī pe guyyāñ thā falak nālā-kanāñ

    aaj phir shukr-e-ḳhudā ham bhī haiñ ḳhush-hāloñ ke biich

    baat hai bigḌī ghaḌī saaf jo hote nahīñ

    chalte purze haiñ mujhe laate haiñ vo chāloñ ke biich

    sunte bechain ho kar aa ga.e Dolī meñ ham

    kis balā hai asar 'mohsin' tire nāloñ ke biich

    aaj di talim gat gat ki mujhe talon ke bich

    ab na aaungi kabhi ustad ki chaalon ke bich

    chum kar zulf-e-dota phansta nahin jalon ke bich

    saf bach jata hai gora saikaDon kalon ke bich

    main to KHud kahti hun baji KHak Dalun shaiKH par

    phans leta hai nigoDa pyar ki chaalon ke bich

    bhola-pan KHud kar raha hai surKHi-e-lab se huzur

    sut ki beDi bhari hai aaj in galon ke bich

    hote the do-chaar dulha pahle kya kya pyar se

    bigDe ab kya kya bua do chaar hi salon ke bich

    nauj lun shaalen kisi ki main bua shal ho gai

    bheje KHat saukan ke mujh ko Dal kar shaalon ke bich

    apni bad-hali pe guyyan tha falak nala-kanan

    aaj phir shukr-e-KHuda hum bhi hain KHush-haalon ke bich

    baat hai bigDi ghaDi ki saf jo hote nahin

    chalte purze hain mujhe late hain wo chaalon ke bich

    sunte hi bechain ho kar aa gae Doli mein hum

    kis bala ka hai asar 'mohsin' tere nalon ke bich

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now