aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj wo baat sahi jis mein teri kal kal jae

Insha Allah Khan Insha

aaj wo baat sahi jis mein teri kal kal jae

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    aaj vo baat sahī jis meñ tirī kal kal jaa.e

    kyā karūñ lekin agar koī mahīna Tal jaa.e

    yuuñ lagī kosne chaupaḌ meñ jo haarī vo parī

    satī ho jaa.e daman mar tirā raaja nal jaa.e

    Dhaltī phirtī huī ai chhāñv jo vo itrāveñ

    haq kare terī tarah un bhī joban Dhal jaa.e

    aah lau jo mirī chūḌī se nikle baajī

    sham.a ye baḳhtoñ-jalī kyuuñ na bhalā jal jal jaa.e

    use qurbān karūñ jo mujhe chheḌe 'inshā'

    merī chhātī jo chhue us hathelī jal jaa.e

    aaj wo baat sahi jis mein teri kal kal jae

    kya karun lekin agar koi mahina Tal jae

    yun lagi kosne chaupaD mein jo haari wo pari

    sati ho jae daman mar tera raja nal jae

    Dhalti phirti hui ai chhanw jo wo itrawen

    haq kare teri tarah un ka bhi joban Dhal jae

    aah ki lau jo meri chuDi se nikle baji

    shama ye baKHton-jali kyun na bhala jal jal jae

    use qurban karun jo mujhe chheDe 'insha'

    meri chhati jo chhue us ki hatheli jal jae

    Source:

    Kulliyat-e-inshaallah khan insha (Pg. 210)

    • Author: Insha Allah Khan Insha
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1876
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now