aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main tere sadqe gai ai meri pyari mat chiKH

Insha Allah Khan Insha

main tere sadqe gai ai meri pyari mat chiKH

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    maiñ tire sadqe ga.ī ai mirī pyārī mat chīḳh

    mat jagā nīñd-bhare logoñ ko vaarī mat chīḳh

    lagtī hai choT to lagne de masos aur zarī

    ek dam ke liye ḳhātir se hamārī mat chīḳh

    apnā chauñDā na hilā dum na phulā ai bulbul

    kah diyā maiñ ne nahīñ tujh ko ki haañ mat chīḳh

    kyuuñ mirā maġhz phirātī hai arī mainā chup

    uḌ ga.ī duur bhī ho jaise gañvārī mat chīḳh

    chīḳh-chiñghāḌ machātī huī 'inshā' se na mil

    banno ab mannateñ kar ke tirī haarī mat chīḳh

    main tere sadqe gai ai meri pyari mat chiKH

    mat jaga nind-bhare logon ko wari mat chiKH

    lagti hai choT to lagne de masos aur zari

    ek dam ke liye KHatir se hamari mat chiKH

    apna chaunDa na hila dum na phula ai bulbul

    kah diya main ne nahin tujh ko ki han ri mat chiKH

    kyun mera maghz phiraati hai ari maina chup

    uD gai dur bhi ho jaise ganwari mat chiKH

    chiKH-chinghaD machati hui 'insha' se na mil

    banno ab mannaten kar ke teri haari mat chiKH

    Source:

    Kulliyat-e-inshaallah khan insha (Pg. 193)

    • Author: Insha Allah Khan Insha
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1876
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now