Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHilaf kahti hain huren ki hai qamar ka sa

Mohsin Khan Mohsin

KHilaf kahti hain huren ki hai qamar ka sa

Mohsin Khan Mohsin

MORE BYMohsin Khan Mohsin

    ḳhilāf kahtī haiñ hūreñ ki hai qamar

    hameñ nazar nahīñ aatā hai us bashar

    nazar to aatā hai miTtā vo naqsha shar

    duā meñ detā hai mālūm kuchh asar

    gharauñde yuuñ to bahut dekh Daale begam ne

    mazā milā na magar shaiḳh-jī ke ghar

    hue na kasbī ko dil de ke āḳhirash hairān

    maiñ pahle samjhī thī saudā hai ye zarar

    nahīñ vo paan se karte haiñ surḳh suut muñh

    lagāte haiñ dil-e-bismil meñ ek charkā

    uThā.ī ruḳh se dilā.ī jo dūlhā ne baajī

    ziyā-e-husn se jalva huā qamar

    tumhāre dil na kho jaa.e koī aalam meñ

    na koī gum ho jahāñ meñ mirī kamar

    ye ḳhat navāb ko pahuñchā do maamā maiñ vaarī

    banā lo ruup buā aaj nāma-bar

    hazār chāhtī huuñ bolūñ un se ho ke niDar

    yahī to Dar hai ki lagtā hai mujh ko dhaḌkā

    vo DāñTā shaiḳh ko begam chashm-e-pur-ḳhūñ ne

    huā zarā meñ vo mālūm vaañ se sarkā

    nigoḌī vasl shab bhī huā na chain nasīb

    lagā rahā buā khaTkā muuī sahar

    suḳhan pariyoñ ko le kar sarīr-e-mazmūn par

    havā meñ uḌtā hai 'mohsin' lagā ke par

    KHilaf kahti hain huren ki hai qamar ka sa

    hamein nazar nahin aata hai us bashar ka sa

    nazar to aata hai miTta wo naqsha shar ka sa

    dua mein deta hai malum kuchh asar ka sa

    gharaunde yun to bahut dekh Dale begam ne

    maza mila na magar shaiKH-ji ke ghar ka sa

    hue na kasbi ko dil de ke aaKHirash hairan

    main pahle samjhi thi sauda hai ye zarar ka sa

    nahin wo pan se karte hain surKH sut ka munh

    lagate hain dil-e-bismil mein ek charka sa

    uThai ruKH se dilai jo dulha ne baji

    ziya-e-husn se jalwa hua qamar ka sa

    tumhaare dil sa na kho jae koi aalam mein

    na koi gum ho jahan mein meri kamar ka sa

    ye KHat nawab ko pahuncha do mama main wari

    bana lo rup bua aaj nama-bar ka sa

    hazar chahti hun bolun un se ho ke niDar

    yahi to Dar hai ki lagta hai mujh ko dhaDka sa

    wo DanTa shaiKH ko begam ki chashm-e-pur-KHun ne

    hua zara mein wo malum wan se sarka sa

    nigoDi wasl ki shab bhi hua na chain nasib

    laga raha bua khaTka mui sahar ka sa

    suKHan ki pariyon ko le kar sarir-e-mazmun par

    hawa mein uDta hai 'mohsin' laga ke par ka sa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now