Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

munh pe kya puchhna yusuf se bua mere baad

Meer Yaar Ali Jaan

munh pe kya puchhna yusuf se bua mere baad

Meer Yaar Ali Jaan

MORE BYMeer Yaar Ali Jaan

    muñh pe kyā pūchhnā yūsuf se buā mere baad

    ishq meñ naam zuleḳhā huā mere baad

    raat ko ḳhvāb meñ lailā ne kahā bandī se

    ne phir zinda kiyā naam mirā mere baad

    sach maiñ kahtī huuñ nabī-baḳhsh burā hai dāmād

    rakkhe izzat mirī bachchī ḳhudā mere baad

    kār-ḳhāne meñ ḳhudā ke nahīñ kuchh daḳhl buā

    bachcha tum pahle janīñ byaah huā mere baad

    muñh pe jo chāhatīñ kah letī burā ki bhalā

    un se baajī ko na karnā thā gilā mere baad

    bhayyā farhād the jaan jo shīrīñ par

    tum nahīñ aise jo dikhlāo vafā mere baad

    bholī kis birte pe ho yaad rahe ai banno

    is nasīhat uThāoge mazā mere baad

    jiitī jab tak huuñ maiñ hai saarī mohabbat sāhab

    aise tum byaah karoge na bhalā mere baad

    dil yatīmoñ bahut hotā hai nāzuk banoñ

    jān'-sāhab ko ghuḌuknā na zarā mere baad

    munh pe kya puchhna yusuf se bua mere baad

    ishq mein nam zuleKHa ka hua mere baad

    raat ko KHwab mein laila ne kaha bandi se

    tu ne phir zinda kiya nam mera mere baad

    sach main kahti hun nabi-baKHsh bura hai damad

    rakkhe izzat meri bachchi ki KHuda mere baad

    kar-KHane mein KHuda ke nahin kuchh daKHl bua

    bachcha tum pahle janin byah hua mere baad

    munh pe jo chahatin kah leti bura ya ki bhala

    un se baji ko na karna tha gila mere baad

    bhayya farhad hi the jaan jo di shirin par

    tum nahin aise jo dikhlao wafa mere baad

    bholi kis birte pe ho yaad rahe ai banno

    is nasihat ka uThaoge maza mere baad

    jiti jab tak hun main hai sari mohabbat sahab

    aise tum byah karoge na bhala mere baad

    dil yatimon ka bahut hota hai nazuk banon

    jaan'-sahab ko ghuDukna na zara mere baad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now