SEARCH RESULTS
Showing search results for ",NETe"
Sher MATCHES FOR ",neTe"
Sher
hamaarii fat.h ke andaaz duniyaa se niraale hai.n
ki parcham kii jagah neze pe apnaa sar nikaltaa hai
Fasih Akmal
Sher
sipaah-e-shaam ke neze pe aaftaab kaa sar
kis ehtimaam se parvar-digaar-e-shab niklaa
Iftikhar Arif
Sher
tujh se mil kar sab se naate to.D liye the
ham ne baadal dekh ke maTke pho.D liye the
Moin Shadab
Sher
Ajiz Matvi
Sher
mujh ko kisii yaziid kii bai.at nahii.n qubuul
neze ye rakkho aa.o miraa sar bhii le chalo
Abdullateef Shauq
Sher
jaane kitnii baar sikko.n ko ginaa karte the ham
note kii gaDDii ne ham se rezgaarii chhiin lii
Raghvendra Dwivedi
Sher
daulat-e-sar huu.n so har jiitne vaalaa lashkar
tasht me.n rakhtaa hai neze pe sajaataa hai mujhe
Irfan Siddiqi
Sher
note dikhlaa kar use ham khe.nch laa.e apne haa.n
ham na kahte the ki paisa qaazii-ul-haajaat hai
Chunchal Sialkoti
Sher
na mere haath se chhuTnaa hai mere neze ko
na tere tiir ko terii kamaa.n me.n rahnaa hai