SEARCH RESULTS
Showing search results for ",uGhK"
Sher MATCHES FOR ",uGhK"
Sher
Nida Fazli
Sher
ye ishq nahii.n aasaa.n itnaa hii samajh liije
ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
ishq par zor nahii.n hai ye vo aatish 'Gaalib'
ki lagaa.e na lage aur bujhaa.e na bane
Mirza Ghalib
Sher
bas ik jhijak hai yahii haal-e-dil sunaane me.n
ki teraa zikr bhii aa.egaa is fasaane me.n
Kaifi Azmi
Sher
ishq se tabii.at ne ziist kaa mazaa paayaa
dard kii davaa paa.ii dard-e-be-davaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
maktab-e-ishq kaa dastuur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTii na mile jis ko sabaq yaad rahe
Meer Tahir Ali Rizvi
Sher
vo na aa.egaa hame.n ma.aluum thaa is shaam bhii
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
Parveen Shakir
Sher
dil paagal hai roz na.ii naadaanii kartaa hai
aag me.n aag milaataa hai phir paanii kartaa hai
Iftikhar Arif
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
aa.nkh se duur sahii dil se kahaa.n jaa.egaa
jaane vaale tuu hame.n yaad bahut aa.egaa
Obaidullah Aleem
Sher
dil ke phaphuule jal uThe siine ke daaG se
is ghar ko aag lag ga.ii ghar ke charaaG se