SEARCH RESULTS
Showing search results for "آخر_شب"
Sher MATCHES FOR "آخر_شب"
Sher
aaKHir-e-shab hu.ii aaGaaz kahaanii apnii
ham ne paayaa bhii to ik umr ga.nvaa kar us ko
Irfan Siddiqi
Sher
lahuu ke paar ko.ii muntazir hai aaKHir-e-shab
kamaal-e-zabt se aage safar kiyaa jaa.e
Moid Rasheedi
Sher
hame.n KHabar hai ki ham hai.n charaaG-e-aaKHir-e-shab
hamaare baa'd a.ndheraa nahii.n ujaalaa hai
Zaheer Kashmiri
Sher
Zubair Rizvi
Sher
kaun royaa pas-e-diivaar-e-chaman aaKHir-e-shab
kyuu.n sabaa lauT ga.ii raahguzar se puuchho
Anwar Moazzam
Sher
saa.ns ruktii hai chhalakte hu.e paimaane me.n
ko.ii letaa thaa tiraa naam-e-vafaa aaKHir-e-shab
Makhdoom Mohiuddin
Sher
vasl kii shab kaa maza hotaa hai avval jaise
vaise hii hotaa hai ahvaal batar aaKHir-e-shab
Meer Hasan
Sher
shab-e-avval to tavaqqo pe tire va.ade ke
sahal hotii hai balaa hotii hai par aaKHir-e-shab
Meer Hasan
Sher
manzile.n ishq kii aasaa.n hu.ii.n chalte chalte
aur chamkaa tiraa naqsh-e-kaf-e-paa aaKHir-e-shab
Makhdoom Mohiuddin
Sher
ye zindagii kii aaKHirii shab hii na ho kahii.n
jo so ga.e hai.n un ko jagaa lenaa chaahiye
Zafar Iqbal
Sher
ahvaal-e-'miir' kyuu.nkar aaKHir ho ek shab me.n
ik umr ham ye qissa tum se kahaa kare.nge
Meer Taqi Meer
Sher
Unknown
Sher
kuchh tuu hii bataa aaKHir kyuu.n-kar tire bando.n par
har shab hai na.ii aafat har roz musiibat hai
Quaiser Khalid
Sher
Shubham Shab
Sher
farba-tanii kii fikr me.n naadaa.n hai.n roz-o-shab
aaKHir ko jaante nahii.n hai ye Gizaa-e-marg
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
ai ajal ek din aaKHir tujhe aanaa hai vale
aaj aatii shab-e-furqat me.n to ehsaa.n hotaa