SEARCH RESULTS
Showing search results for "طبع"
Sher MATCHES FOR "طبع"
Sher
bichha.D ke tujh se mujhe hai umiid milne kii
sunaa hai ruuh ko aanaa hai phir badan kii taraf
Nazm Tabatabai
Sher
paidaa kahaa.n hai.n aise paraaganda-tab.a log
afsos tum ko 'miir' se sohbat nahii.n rahii
Meer Taqi Meer
Sher
Daal de jaan ma.aanii me.n vo urdu ye hai
karvaTe.n lene lage tab.a vo pahluu ye hai
Akbar Allahabadi
Sher
Nazm Tabatabai
Sher
dil is tarah havaa-e-mohabbat me.n jal gayaa
bha.Dkii kahii.n na aag na uTThaa dhu.aa.n kahii.n
Nazm Tabatabai
Sher
banaayaa to.D ke aa.iina aa.iina-KHaana
na dekhii raah jo KHalvat se anjuman kii taraf
Nazm Tabatabai
Sher
har-chand mirii quvvat-e-guftaar hai mahbuus
KHaamosh magar tab-e-KHud-aaraa nahii.n hotii
Sahir Ludhianvi
Sher
adab baKHshaa hai aisaa rabt-e-alfaaz-e-munaasib ne
do-zaanuu hai mirii tab-e-rasaa tarkiib-e-urdu se
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
nashshe me.n suujhtii hai mujhe duur duur kii
naddii vo saamne hai sharaab-e-tuhuur kii
Nazm Tabatabai
Sher
dushnaam-e-yaar tab-e-hazii.n par giraa.n nahii.n
ai ham-nashii.n nazaakat-e-aavaaz dekhnaa
Momin Khan Momin
Sher
dard-e-dil se ishq ke be-pardagii hotii nahii.n
ik chamak uThtii hai lekin raushnii hotii nahii.n
Nazm Tabatabai
Sher
tuu ne to apne dar se mujh ko uThaa diyaa hai
parchhaa.ii.n phir rahii hai merii usii galii me.n
Nazm Tabatabai
Sher
Nazm Tabatabai
Sher
apnii duniyaa to banaa lii thii riyaa-kaaro.n ne
mil gayaa KHuld bhii allaah ko phuslaane se
Nazm Tabatabai
Sher
ka.aba o but-KHaana aarif kii nazar se dekhiye
KHvaab dono.n ek hii hai.n farq hai ta.abiir me.n
Nazm Tabatabai
Sher
kyaa KHuub 'barq' tuu ne dikhaayaa hai zor-e-tab.a
kaaGaz pe rakh diyaa hai kalejaa nikaal ke
Munshi Ram Rakha Barq
Sher
islaam se bargashta na hote ba-KHudaa ham
gar ishq-e-butaa.n tab.a ke marGuub na hotaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
kuduurat nahii.n apnii tab-e-ravaa.n me.n
bahut saaf bahtaa hai dariyaa hamaaraa