SEARCH RESULTS
Showing search results for "فارابی"
Sher MATCHES FOR "فارابی"
Sher
mujhe KHabar thii miraa intizaar ghar me.n rahaa
ye haadsa thaa ki mai.n umr bhar safar me.n rahaa
Saqi Faruqi
Sher
muddat hu.ii ik shaKHs ne dil to.D diyaa thaa
is vaaste apno.n se mohabbat nahii.n karte
Saqi Faruqi
Sher
ye kyaa tilism hai kyuu.n raat bhar sisaktaa huu.n
vo kaun hai jo diyo.n me.n jalaa rahaa hai mujhe
Saqi Faruqi
Sher
ik yaad kii maujuudgii sah bhii nahii.n sakte
ye baat kisii aur se kah bhii nahii.n sakte
Saqi Faruqi
Sher
Saqi Faruqi
Sher
aadmii jaan ke khaataa hai mohabbat me.n fareb
KHud-farebii hii mohabbat kaa sila ho jaise
Iqbal Azeem
Sher
mujh ko mirii shikast kii dohrii sazaa milii
tujh se bichha.D ke zindagii duniyaa se jaa milii
Saqi Faruqi
Sher
aagahii karb vafaa sabr tamannaa ehsaas
mere hii siine me.n utre hai.n ye KHanjar saare
Bashir Farooqi
Sher
mujh me.n saat samundar shor machaate hai.n
ek KHayaal ne dahshat phailaa rakkhii hai
Saqi Faruqi
Sher
KHudaa ke vaaste mauqaa na de shikaayat kaa
ki dostii kii tarah dushmanii nibhaayaa kar
Saqi Faruqi
Sher
aashiq huu.n pa maashuuq-farebii hai miraa kaam
majnuu.n ko buraa kahtii hai lailaa mire aage
Mirza Ghalib
Sher
Saqi Faruqi
Sher
Saqi Faruqi
Sher
tamaam jism kii uryaaniyaa.n thii.n aa.nkho.n me.n
vo merii ruuh me.n utraa hijaab pahne hu.e