SEARCH RESULTS
Showing search results for "इफ़्फ़त-ए-क़ल्ब"
Sher MATCHES FOR "इफ़्फ़त-ए-क़ल्ब"
Sher
sidq-o-safaa-e-qalb se mahruum hai hayaat
karte hai.n bandagii bhii jahannam ke Dar se ham
Shakeel Badayuni
Sher
ye zamzama tuyuur-e-KHush-aaha.ng kaa nahii.n
hai naGma-sa.nj bulbul-e-ra.ngii.n-navaa-e-qalb
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
ishq me.n maarka-e-qalb-o-nazar kyaa kahiye
choT lagtii hai kahii.n dard kahii.n hotaa hai
Hafeez Banarasi
Sher
vahii shai maqsad-e-qalb-o-nazar mahsuus hotii hai
kamii jis kii baraabar umr bhar mahsuus hotii hai
Abdul Hamid Adam
Sher
shabaab-e-husn hai barq-o-sharar kii manzil hai
ye aazmaa.ish-e-qalb-o-nazar kii manzil hai
Ghulam Rabbani Taban
Sher
rah-e-vafaa me.n luTaa kar mataa-e-qalb-o-jigar
kiyaa hai terii mohabbat kaa haq adaa mai.n ne
Akhtar Muslimi
Sher
shaa.erii to vaardaat-e-qalb kii ruudaad hai
qaafiya-paimaa.ii ko mai.n shaa.erii kaise kahuu.n
Nazim Barelvi
Sher
tirii nigah se ga.e khul kivaa.D chhaatii ke
hisaar-e-qalb kii goyaa thii fat.h tere naam
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Said Iqbal Saadi
Sher
sukuun-e-qalb to kiyaa hai qaraar-e-jaa.n bhii luTaa
tumhaarii yaad bhii aa.ii to raahzan kii tarah
Athar Nadir
Sher
ye haadisa bhii hu.aa hai ki ishq-e-yaar kii yaad
dayaar-e-qalb se begaana-vaar guzrii hai
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
ushshaaq jo tasavvur-e-barzaKH ke ho ga.e
aatii hai dam-ba-dam ye unhii.n ko sadaa-e-qalb
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
aashnaa jab tak na thaa us kii nigaah-e-lutf se
vaardaat-e-qalb ko husn-e-bayaa.n samjhaa thaa mai.n
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
mere sukuun-e-qalb ko le kar chale ga.e
aur iztiraab-e-dard-e-jigar de ga.e mujhe