SEARCH RESULTS
Showing search results for "जब्र-ए-वक़्त"
Sher MATCHES FOR "जब्र-ए-वक़्त"
Sher
Noon Meem Danish
Sher
Ibn e Insha
Sher
jab maslahat-e-vaqt se gardan ko jhukaa kar
vo baat kare hai to ko.ii tiir lage hai
Shaukat Pardesi
Sher
zindagii jabr-e-musalsal kii tarah kaaTii hai
jaane kis jurm kii paa.ii hai sazaa yaad nahii.n
Saghar Siddiqui
Sher
parvaane aa hii jaa.e.nge khi.nch kar ba-jabr-e-ishq
mahfil me.n sirf sham.a jalaane kii der hai
Mahirul Qadri
Sher
tundii-e-sail-e-vaqt me.n ye bhii hai ko.ii zindagii
sub.h hu.ii to jii uThe, raat hu.ii to mar ga.e
Hazin Ludhianvi
Sher
ba-qaid-e-vaqt pa.Dhii mai.n ne pa.njgaana namaaz
sharaab piine me.n kuchh ehtiyaat mujh ko nahii.n
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
aa.o mil jaa.o ki ye vaqt na paa.oge kabhii
mai.n bhii ham-raah zamaane ke badal jaa.uu.ngaa
Dagh Dehlvi
Sher
hotii hai shaam aa.nkh se aa.nsuu ravaa.n hu.e
ye vaqt qaidiyo.n kii rihaa.ii kaa vaqt hai
Ahmad Mushtaq
Sher
ye vaqt band dariicho.n pe likh gayaa 'qaisar'
mai.n jaa rahaa huu.n miraa intizaar mat karnaa
Qaisarul Jafri
Sher
ye vaqt kaifiyaat se bhartaa nahii.n kabhii
ye jaam iKHtiyaar nahii.n kar rahaa huu.n mai.n
Muneer Jafri
Sher
ye vaqt kaifiyaat se bhartaa nahii.n kabhii
ye jaam iKHtiyaar nahii.n kar rahaa huu.n mai.n
Muneer Jafri
Sher
sadaa-e-vaqt kii gar baaz-gasht san paa.o
mire KHayaal ko tum shaa.iraana kah denaa
Mohsin Bhopali
Sher
zindagii kashmakash-e-vaqt me.n guzrii apnii
din ne jiine na diyaa raat ne marne na diyaa
Ram Riyaz
Sher
ye vaqt kis kii ra.uunat pe KHaak Daal gayaa
ye kaun bol rahaa thaa KHudaa ke lahje me.n
Iftikhar Arif
Sher
roke se kahii.n haadsa-e-vaqt rukaa hai
sho.alo.n se bachaa shahr to shabnam se jalaa hai
Ali Ahmad Jalili
Sher
haa.e vo vaqt ki jab be-piye mad-hoshii thii
haa.e ye vaqt ki ab pii ke bhii maKHmuur nahii.n