SEARCH RESULTS
Showing search results for "दरिया-ए-नील"
Sher MATCHES FOR "दरिया-ए-नील"
Sher
dariyaa-e-sharaab us ne bahaayaa hai hamesha
saaqii se jo kashtii ke talabgaar hu.e hai.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
bahr-e-hastii saa ko.ii dariyaa-e-be-paayaa.n nahii.n
aasmaan-e-niil-guu.n saa sabza-e-saahil kahaa.n
Haidar Ali Aatish
Sher
Abbas Tabish
Sher
paiGaam-e-lutf-e-KHaas sunaanaa basant kaa
dariyaa-e-faiz-e-aam bahaanaa basant kaa
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
baaz aa saahil pe Gote khaane vaale baaz aa
Duub marne kaa maza dariyaa-e-be-saahil me.n hai
Yagana Changezi
Sher
mile qatra qatra ye kyaa zindagii hai
ai dariyaa-e-rahmat vahii tishnagii hai
Ameeta Parsuram Meeta
Sher
paar dariyaa-e-mohabbat se utarnaa hai muhaal
tum lagaa.oge kinaare to kinaare ho.nge
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
aasaa.n nahii.n dariyaa-e-mohabbat se guzarnaa
yaa.n nuuh kii kashtii ko bhii tuufaan kaa Dar hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
taalaab iraade kaa bhare pal me.n labaalab
jab yaar ke dariyaa-e-karam suu.n lahr aave
Alimullah
Sher
dariyaa-e-husn aur bhii do haath ba.Dh gayaa
a.ng.Daa.ii us ne nashshe me.n lii jab uThaa ke haath
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
kaun dariyaa-e-mohabbat se utar saktaa hai paar
kashtii-e-farhaad aaKHir koh se Takraa ga.ii
Munawar Khan Ghafil
Sher
ishq ne kasrat se jaa kii mujh dil-e-betaab me.n
aa bharaa dariyaa-e-aatish qatra-e-siimaab me.n
Nawal Rai Vafa
Sher
dil kii KHalish to saath rahegii tamaam umr
dariyaa-e-Gam ke paar utar jaa.e.n ham to kyaa
Muneer Niyazi
Sher
tah me.n dariyaa-e-mohabbat ke thii kyaa chiiz 'aziiz'
jo ko.ii Duub gayaa us ko ubharne na diyaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
paar dariyaa-e-shahaadat se utar jaate hai.n sar
kashtii-e-ushshaaq kii mallaah ban jaatii hai teG
Bayan Meeruthi
Sher
dariyaa-e-mohabbat se 'muhib' le hii ke chho.Dii
mujh ashk ne aaKHir dur-e-naayaab kii miiraas