SEARCH RESULTS
Showing search results for "नैन-सुख"
Sher MATCHES FOR "नैन-सुख"
Sher
aur sab 'maanii' ne terii to banaa.ii tasviir
par durust ho na sakii chehre kii parvaaz hanuuz
nayan sukh
Sher
iidhar se sete jaa.o aur uudhar se phahTtaa jaa.e
aise tarah ke kap.De ko phir siije bhii nahii.n
nayan sukh
Sher
puuchhe ko.ii kisii ko so imkaan hii nahii.n
naa-pursii kaa ye daur anokhaa bhalaa phiraa
nayan sukh
Sher
jitnaa ki hai ifraat tirii kam-nigahii kaa
utnaa hii idhar dekho to ye diida-e-nam hai
nayan sukh
Sher
vo jo ik tolaa ka.ii maasha thii yaarii tum se
rattii bhar bhii na rahaa is me.n kuchh aasaar kahii.n
nayan sukh
Sher
chaTpaTii dil kii bujhii yaar ke dekhe se yuu.n
bhuuke ko jaise kahii.n se goyaa khaanaa aayaa
nayan sukh
Sher
aa.iine se mujh dal ke tahayyur ko milaa dekh
ye dono.n baraabar hai.n ko.ii besh na kam hai
nayan sukh
Sher
dekhaa hai kahii.n gul ne tujhe jis kii KHushii se
phuulaa hai vo itnaa ki qabaa me.n na samaave
nayan sukh
Sher
jaave bhii phir aave bhii ka.ii shakl se har baar
chakkar me.n kahaa.n, par ye mazaa taan me.n dekhaa
nayan sukh
Sher
aage ko ba.Dh sake hai na piichhe ko haT sake
yaa.n tak tire KHayaal me.n ab DaT gayaa hai dil
nayan sukh
Sher
ye saaraa qaziya to ham se hai is se tum ko kyaa
tum apne ek taraf ho raho hu.aa so havaa