SEARCH RESULTS
Showing search results for "मुकम्मल"
Sher MATCHES FOR "मुकम्मल"
Sher
kabhii kisii ko mukammal jahaa.n nahii.n miltaa
kahii.n zamiin kahii.n aasmaa.n nahii.n miltaa
Nida Fazli
Sher
sab KHvaahishe.n puurii ho.n 'faraaz' aisaa nahii.n hai
jaise ka.ii ash.aar mukammal nahii.n hote
Ahmad Faraz
Sher
ghar kii is baar mukammal mai.n talaashii luu.ngaa
Gam chhupaa kar mire maa.n baap kahaa.n rakhte the
Sajid Jawed Sajid
Sher
ra.ng-e-mahfil chaahtaa hai ik mukammal inqalaab
chand sham.o.n ke bha.Dakne se sahar hotii nahii.n
Qabil Ajmeri
Sher
chaa.nd saa misra akelaa hai mire kaaGaz par
chhat pe aa jaa.o miraa sher mukammal kar do
Bashir Badr
Sher
ab miraa dhyaan kahii.n aur chalaa jaataa hai
ab ko.ii film mukammal nahii.n dekhii jaatii
Jawad Sheikh
Sher
jo tuu nahii.n hai to ye mukammal na ho sake.ngii
tirii yahii ahmiyat hai merii kahaaniyo.n me.n
Wasi Shah
Sher
vo aadmii nahii.n hai mukammal bayaan hai
maathe pe us ke choT kaa gahraa nishaan hai
Dushyant Kumar
Sher
Faheem Jogapuri
Sher
ko.ii tasviir mukammal nahii.n hone paatii
dhuup dete hai.n to saayaa nahii.n rahne dete
Ahmad Mushtaq
Sher
sunaa hai KHvaab mukammal kabhii nahii.n hote
sunaa hai ishq KHataa hai so kar ke dekhte hai.n
Humaira Rahat
Sher
tamaam shahr kii aa.nkho.n me.n reza reza huu.n
kisii bhii aa.nkh se uThtaa nahii.n mukammal mai.n
Farhat Ehsas
Sher
ham ne maanaa ki nahii.n hotii mukammal taskii.n
KHat ko bhii aadhii mulaaqaat kahaa jaataa hai
Tabish Lakhnavi
Sher
harf ko lafz na kar lafz ko iz.haar na de
ko.ii tasviir mukammal na banaa us ke liye
Mohammad Ahmad Ramz
Sher
tuu Gazal ban ke utar baat mukammal ho jaa.e
muntazir dil kii munaajaat mukammal ho jaa.e