SEARCH RESULTS
Showing search results for "हसरत-ए-दिल"
Sher MATCHES FOR "हसरत-ए-दिल"
Sher
aataa hai daaG-e-hasrat-e-dil kaa shumaar yaad
mujh se mire gunah kaa hisaab ai KHudaa na maa.ng
Mirza Ghalib
Sher
hasrat-e-dil naa-mukammal hai kitaab-e-zindagii
jo.D de maazii ke sab auraaq mustaqbil ke saath
Figar Unnavi
Sher
dil-lagii me.n hasrat-e-dil kuchh nikal jaatii to hai
bose le lete hai.n ham do-chaar ha.nste bolte
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
na niklii hasrat-e-dil ek bhii hazaar afsos
adam se aa.e the kyaa kyaa ham aarzuu karte
Mardan Ali Khan Rana
Sher
Sohail Azeemabadi
Sher
Mardan Ali Khan Rana
Sher
asar-e-ishq se huu.n suurat-e-sham.a KHaamosh
ye muraqqa.a hai mirii hasrat-e-goyaa.ii kaa
Dil Shahjahanpuri
Sher
is shahr me.n to kuchh nahii.n rusvaa.ii ke sivaa
ai 'dil' ye ishq le ke kidhar aa gayaa tujhe
Dil Ayubi
Sher
aarzuu lutf talab ishq saraasar naakaam
mubtalaa zindagi-e-dil inhii.n auhaam me.n hai
Dil Shahjahanpuri
Sher
ik ishq kaa Gam aafat aur us pe ye dil aafat
yaa Gam na diyaa hotaa yaa dil na diyaa hotaa
Chiragh Hasan Hasrat
Sher
saugand hai hasrat mujhe ejaaz-e-suKHan kii
ye sehr hai.n jaaduu hai.n na ash.aar hai.n tere
Hasrat Azimabadi
Sher
ye garm garm se aa.nsuu bataa rahe hai.n yahii
zaruur aag kahii.n dil ke aas-paas lagii
Ajeet Singh Hasrat
Sher
kahne ko to mai.n bhuul gayaa huu.n magar ai yaar
hai KHaana-e-dil me.n tirii tasviir abhii tak
Hasrat Mohani
Sher
Chiragh Hasan Hasrat
Sher
maanuus ho chalaa thaa tasallii se haal-e-dil
phir tuu ne yaad aa ke ba-dastuur kar diyaa
Hasrat Mohani
Sher
kahaa.n ham kahaa.n vasl-e-jaanaa.n kii 'hasrat'
bahut hai unhe.n ik nazar dekh lenaa