SEARCH RESULTS
Showing search results for "हासिल-ए-मंज़िल"
Sher MATCHES FOR "हासिल-ए-मंज़िल"
Sher
mar chukaa mai.n to nahii.n is se mujhe kuchh haasil
barse gir paanii kii jaa aab-e-baqaa mere ba.ad
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
mai.n akelaa hii chalaa thaa jaanib-e-manzil magar
log saath aate ga.e aur kaarvaa.n bantaa gayaa
Majrooh Sultanpuri
Sher
ik KHalish ko haasil-e-umr-e-ravaa.n rahne diyaa
jaan kar ham ne unhe.n naa-mehrbaa.n rahne diyaa
Adeeb Saharanpuri
Sher
duniyaa hai KHvaab haasil-e-duniyaa KHayaal hai
insaan KHvaab dekh rahaa hai KHayaal me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
zaahid ne miraa haasil-e-iimaa.n nahii.n dekhaa
ruKH par tirii zulfo.n ko pareshaa.n nahii.n dekhaa
Asghar Gondvi
Sher
safar taviil sahii haasil-e-safar ye hai
vahaa.n ko bhuul ga.e aur yahaa.n ko pahchaanaa
Wazir Agha
Sher
fikr-e-manzil hai na hosh-e-jaada-e-manzil mujhe
jaa rahaa huu.n jis taraf le jaa rahaa hai dil mujhe
Jigar Moradabadi
Sher
vo ek shaKHs ki manzil bhii raastaa bhii hai
vahii du.aa bhii vahii haasil-e-du.aa bhii hai
Ata ul Haq Qasmi
Sher
bas vahii ashk miraa haasil-e-girya hai 'aqiil'
jo mire diida-e-namnaak se baahar hai abhii
Aqeel Abbas Jafri
Sher
Shahbaz Raja
Sher
mere talvo.n ke lahuu se hogii raushan har jihat
rah-ravaan-e-raah-e-manzil ho.nge shashdar dekhnaa
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
phir mirii aas ba.Dhaa kar mujhe maayuus na kar
haasil-e-Gam ko KHudaa-raa Gam-e-haasil na banaa
Himayat Ali Shayar
Sher
vahm-o-qayaas ke sivaa haasil-e-hosh kuchh nahii.n
fahm kii ibtidaa hai vahm aql kii had qayaas hai
Fani Badayuni
Sher
ma.aal-e-zabt-e-paiham ho ga.ii hai
masarrat haasil-e-Gam ho ga.ii hai