SEARCH RESULTS
Showing search results for "Guncho.n"
Sher MATCHES FOR "Guncho.n"
Sher
phuul to do din bahaar-e-jaa.n-fazaa dikhlaa ga.e
hasrat un Guncho.n pe hai jo bin khile murjhaa ga.e
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Guncho.n ke muskuraane pe kahte hai.n ha.ns ke phuul
apnaa karo KHayaal hamaarii to kaT ga.ii
Shad Azimabadi
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
chaman me.n kaun hai pursaan-e-haal shabnam kaa
Gariib ro.ii to Guncho.n ko bhii ha.nsii aa.ii
Arsh Malsiyani
Sher
Imdad Ali Bahr
Sher
du.aa.e.n kiijiye Guncho.n ke muskuraane kii
abhii umiid hai baaqii bahaar aane kii
Ashok Sawhny Sahil
Sher
Shah Naseer
Sher
saaf dekhaa hai ki Guncho.n ne lahuu thuukaa hai
mausam-e-gul me.n ilaahii ko.ii dil-giir na ho
Taashshuq Lakhnavi
Sher
naala-e-bulbul se Guncho.n ke kaleje phaT ga.e
gulsitaa.n vaale samajhte hai.n ki gul KHandaa.n hu.e
Shahab Lakhnavi
Sher
Meer Soz
Sher
mausam-e-gul kaa magar qaafila jaataa hai ki aaj
saare Guncho.n se jo aavaaz-e-jaras aatii hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
is tarah mere gunaaho.n ko vo dho detii hai
maa.n bahut Gusse me.n hotii hai to ro detii hai
Munawwar Rana
Sher
gul Gunche aaftaab shafaq chaa.nd kahkashaa.n
aisii ko.ii bhii chiiz nahii.n jis me.n tuu na ho
Wahid Premi
Sher
Chakbast Braj Narayan
Sher
dekhaa to sab ke sar pe gunaaho.n kaa bojh thaa
KHush the tamaam nekiyaa.n dariyaa me.n Daal kar
Mohammad Alvi
Sher
gunaaho.n se hame.n raGbat na thii magar yaa rab
tirii nigaah-e-karam ko bhii mu.nh dikhaanaa thaa
Naresh Kumar Shad
Sher
aap chhuu dekhe.n kisii Gunche ko apne haath se
Guncha gul ho jaa.egaa aur gul chaman ho jaa.egaa