SEARCH RESULTS
Showing search results for "aab-e-zindagaanii-e-shama"
Sher MATCHES FOR "aab-e-zindagaanii-e-shama"
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn e Insha
Sher
vo mel-jol husn o basiirat me.n ab kahaa.n
jo silsila thaa phuul kaa patthar se kaT gayaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
tuu KHvaab hii me.n sahii aa ke KHud javaab to de
bujhii bujhii sii mirii aarzuu ko aab to de
A. D. Azhar
Sher
thaa jis pe naaz kabhii ab vo aarzuu na rahii
niyaaz-e-'ishq kii pahlii sii aabruu na rahii
A. D. Azhar
Sher
mar chukaa mai.n to nahii.n is se mujhe kuchh haasil
barse gir paanii kii jaa aab-e-baqaa mere ba.ad
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
kuchh to kamii ho roz-e-jazaa ke azaab me.n
ab se piyaa kare.nge milaa kar gulaab me.n
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
yahii bahut the mujhe naan o aab o sham.a o gul
safar-nazhaad thaa asbaab muKHtasar rakkhaa
Afzal Ahmad Syed
Sher
ham ruu-ba-ruu-e-sham.a hai.n is intizaar me.n
kuchh jaa.n paro.n me.n aa.e to u.D kar nisaar ho.n
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
hai jis kii Thokaro.n me.n aab-e-zindagii 'vaamiq'
vo tishnagii kaa samundar dikhaa.ii detaa hai
Wamiq Jaunpuri
Sher
ai sham.a tujh pe raat ye bhaarii hai jis tarah
mai.n ne tamaam umr guzaarii hai is tarah
Natiq Lakhnavi
Sher
kaar-e-zindagaanii ke shor-o-shar me.n muddat se
us ko bhuul jaane kaa ehtimaal rahtaa hai
Mustafa Shahab
Sher
ai sham.a sub.h hotii hai rotii hai kis liye
tho.Dii sii rah ga.ii hai ise bhii guzaar de
Aish Dehlvi
Sher
Fazil Jamili
Sher
ai sham.a terii umr-e-taabii.ii hai ek raat
ha.ns kar guzaar yaa ise ro kar guzaar de
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
ai sham.a ahl-e-bazm to baiThe hii rah ga.e
kahne kii thii jo baat vo parvaana kah gayaa