SEARCH RESULTS
Showing search results for "basto.n"
Sher MATCHES FOR "basto.n"
Sher
Jaun Eliya
Sher
merii baa.nho.n me.n bahakne kii sazaa bhii sun le
ab bahut der me.n aazaad karuu.ngaa tujh ko
Jaun Eliya
Sher
tum aa ga.e ho to kuchh chaa.ndnii sii baate.n ho.n
zamii.n pe chaa.nd kahaa.n roz roz utartaa hai
Waseem Barelvi
Sher
Allama Iqbal
Sher
kis ne bhiige hu.e baalo.n se ye jhaTkaa paanii
jhuum ke aa.ii ghaTaa TuuT ke barsaa paanii
Arzoo Lakhnavi
Sher
aur kyaa is se ziyaada ko.ii narmii bartuu.n
dil ke zaKHmo.n ko chhu.aa hai tire gaalo.n kii tarah
Jan Nisar Akhtar
Sher
Allama Iqbal
Sher
jamhuuriyat ik tarz-e-hukuumat hai ki jis me.n
bando.n ko ginaa karte hai.n taulaa nahii.n karte
Allama Iqbal
Sher
mat sahl hame.n jaano phirtaa hai falak barso.n
tab KHaak ke parde se insaan nikalte hai.n
Meer Taqi Meer
Sher
Ibn e Insha
Sher
Javed Akhtar
Sher
jo mujh me.n tujh me.n chalaa aa rahaa hai barso.n se
kahii.n hayaat isii faasle kaa naam na ho
Waseem Barelvi
Sher
sunaa hai bole to baato.n se phuul jha.Dte hai.n
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hai.n