SEARCH RESULTS
Showing search results for "dastkaar"
Sher MATCHES FOR "dastkaar"
Sher
maktab-e-ishq kaa dastuur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTii na mile jis ko sabaq yaad rahe
Meer Tahir Ali Rizvi
Sher
jhuk kar salaam karne me.n kyaa harj hai magar
sar itnaa mat jhukaa.o ki dastaar gir pa.De
Iqbal Azeem
Sher
eid kaa din hai gale aaj to mil le zaalim
rasm-e-duniyaa bhii hai mauqa.a bhii hai dastuur bhii hai
Qamar Badayuni
Sher
Allama Iqbal
Sher
Sahir Ludhianvi
Sher
kahaanii likhte hu.e daastaa.n sunaate hu.e
vo so gayaa hai mujhe KHvaab se jagaate hu.e
Saleem Kausar
Sher
achchhaa tumhaare shahar kaa dastuur ho gayaa
jis ko gale lagaa liyaa vo duur ho gayaa
Bashir Badr
Sher
ye hamii.n hai.n ki tiraa dard chhupaa kar dil me.n
kaam duniyaa ke ba-dastuur kiye jaate hai.n
Unknown
Sher
daftar se mil nahii.n rahii chhuTTii vagarna mai.n
baarish kii ek buu.nd na be-kaar jaane duu.n