SEARCH RESULTS
Showing search results for "dil-daar"
Sher MATCHES FOR "dil-daar"
Sher
kyaa puuchhte ho tum ki tiraa dil kidhar gayaa
dil kaa makaa.n kahaa.n yahii dil-daar kii taraf
Siraj Aurangabadi
Sher
gar kahii.n paa.uu.n akelaa to balaa.e.n le kar
kis maze se tujhe luu.n chhaatii se dil-daar lagaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
gar tujh me.n hai vafaa to jafaakaar kaun hai
dil-daar tuu hu.aa to dil-aazaar kaun hai
Mohammad Rafi Sauda
Sher
dil dard kii bhaTTii me.n ka.ii baar jale hai
tab ek Gazal husn ke saa.nche me.n Dhale hai
Kaleem Aajiz
Sher
dii.n-daar log rab ko manaane me.n mast hai.n
darvesh apne naachne gaane me.n mast hai.n
Nadim Nadeem
Sher
dil dard se KHaalii nahii.n ik lamha kisii taur
ye baat magar dil ke sivaa kaun kahegaa
Moid Rasheedi
Sher
Meer Hasan
Sher
Shakeel Jazib
Sher
sukuut-e-shab me.n dar-e-dil pe ek dastak thii
bikhar ga.ii tirii yaado.n kii kahkashaa.n mujh se
Ameer Qazalbash
Sher
ko.ii dastak ko.ii aahaT na shanaasaa aavaaz
KHaak u.Dtii hai dar-e-dil pe bayaabaa.n kii tarah
Zaheer Kashmiri
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
mujhe ye Dar hai dil-e-zinda tuu na mar jaa.e
ki zindagaanii ibaarat hai tere jiine se
Khwaja Meer Dard
Sher
dil ko tirii chaahat pe bharosa bhii bahut hai
aur tujh se bichha.D jaane kaa Dar bhii nahii.n jaataa
Ahmad Faraz
Sher
in hasrato.n se kah do kahii.n aur jaa base.n
itnii jagah kahaa.n hai dil-e-daaG-daar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
liye phiraa jo mujhe dar-ba-dar zamaane me.n
KHayaal tujh ko dil-e-be-qaraar kis kaa thaa