SEARCH RESULTS
Showing search results for "eshaaq"
Sher MATCHES FOR "eshaaq"
Sher
kisii kii yaad manaane me.n iid guzregii
so shahr-e-dil me.n bahut duur tak udaasii hai
Ishaq Virdag
Sher
mai.n aa rahaa huu.n abhii chuum kar badan us kaa
sunaa thaa aag pe bosa raqam nahii.n hotaa
Shanawar Ishaq
Sher
baazaar hai.n KHaamosh to galiyo.n pe hai sakta
ab shahr me.n tanhaa.ii kaa Dar bol rahaa hai
Ishaq Virdag
Sher
asaatiza ne miraa haath thaam rakkhaa hai
isii liye to mai.n pahu.nchaa huu.n apnii manzil par
Ishaq Virdag
Sher
KHairaat me.n de aayaa huu.n jiitii hu.ii baazii
duniyaa ye samajhtii hai ki mai.n haar gayaa huu.n
Ishaq Virdag
Sher
Is.haq Zafar
Sher
naazukii qaamat-e-zebaa kii bayaa.n kyaa kiije
pairahan bhii jahaa.n usluub-e-nazaakat maa.nge
Ishaq Athar Siddiqui
Sher
KHvaab utre hai.n mire zehn pe jaise ilhaam
kaun in KHvaabo.n se ta.abiir kii qiimat maa.nge
Ishaq Athar Siddiqui
Sher
Nida Fazli
Sher
ye ishq nahii.n aasaa.n itnaa hii samajh liije
ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
ishq par zor nahii.n hai ye vo aatish 'Gaalib'
ki lagaa.e na lage aur bujhaa.e na bane
Mirza Ghalib
Sher
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai